Maruti Suzuki working on Baleno based compact SUV

Maruti Suzuki working on Baleno based compact SUV – Maruti Suzuki ne 2015 me Baleno ko Indian market me launch kiya. Ye car Maruti Suzuki ki premium hatchback vehicle hai. Baleno ne Indian market me kafi accha perform kiya hai. Recently, hume information mili hai ki Maruti Suzuki ek compact SUV pe kaam kar raha hai jo  Baleno pe based hai.

Maruti Suzuki working on Baleno based compact SUV-

Maruti Suzuki Hustler Concept

Maruti Suzuki Compact SUV-

Maruti Suzuki ki upcoming compact SUV ko internally codename kiya hai YTB. Iss car ko hum small crossover vehicle jaise dekh sakte hai. Iss car ko Maruti Vitara Brezza ke niche position kiya jaa sakta hai. Maruti YTB ko Heartect platform pe build kiya jayega, jisse Maruti Suzuki ne Baleno, Wagon R, S-Presso, Ertiga, XL6 aur Ignis jaise cars me use kiya hai. Same architecture use karne se development cost ko reduce kiya jaa sakta hai. Iss car me hume 1.2-litre naturally aspired petrol engine aur top spec variants me 1.5-litre SHVS petrol engine dekhne mil sakta hai. Maruti currently BS6 diesel engine par bhi kaam kar raha hai aur chances hai ki iss car me hum BS6 compliant diesel engine bhi dekh sakte hai.

Maruti Suzuki Baleno

Maruti Suzuki Baleno-

Maruti Suzuki Baleno, Maruti ki premium hatchback vehicle hai jisse Indian market me 5 variants me offer kiya jaata hai. Iss car me hume sirf petrol engine ka option mil jaata hai. Iss car me 1.2-litre naturally aspired petrol engine milta hai jo 82 BHP aur 113 Nm torque produce karti hai. Baleno ke high end varaints me hume dualjet engine bhi dekhne milta hai jo 89 BHP produce karti hai. Iss petrol engine ko 5 speed manual aur automatic gearbox ke saath offer kiya jaata hai. Maruti Suzuki Baleno ki price Rs 5.70 lakhs – Rs 9.03 lakh (ex-showroom) hai. Ye car Indian market me Hyundai i20, Toyota Glanza, Honda Jazz, aur Tata Altroz se compete karti hai.

Maruti Suzuki Baleno Images


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram