Maruti Vitara Brezza V/S Toyota Urban Cruiser Price Difference – Toyota Motors aur Maruti Suzuki ne August 2019 me partnership agreement sign kiya tha. Iss agreement se dono manufacturers ko cross-branding strategy se cars ko share karne mila. 2019 me humne Toyota Glanza dekha jo based tha Maruti Suziki Baleno pe. 2020 me Toyta ne Urban Cruiser ko launch kiya jo based hai Maruti Suzuki Vitara Brezza pe.
Maruti Vitara Brezza V/S Toyota Urban Cruiser Price Difference –
Maruti Vitara Brezza v/s Toyota Urban Cruiser-
Maruti Vitara Brezza aur Toyota Urban Cruiser me hume 1.5-litre petrol engine dekhne milta hai jo 103 HP aur 138 Nm torque produce karta hai. Dono gaadiyo me hume 5 speed manual aur AMT gearbox ka option mil jata hai.
Maruti Vitara Brezza hume 7 variants me offer hota hai aur Toyota Urban Cruiser me 6 varinats offer kiya hai. Vitara Brezza ki base variant LXi ka price Rs 7.34 lakhs (ex-showroom) hai. Toyota Urban Cruiser ke base variant Mid Grade ka price 8.41 lakhs (ex-showroom) hai. Vitara Brezza ke base variant sirf 5 speed manual gearbox ke saath aata hai par Urban Cruiser ke base variant pe hume AMT gearbox ka option mil jata hai aur uss variant ka price Rs 9.81 lakhs (ex-showroom) hai.
Vitara Brezza me LXi variant ke upar VXi variant aata hai. Iss variant ka price Rs 8.35 lakhs (ex-showroom) hai. Iss variant ko automatic transmission ke saath bhi offer kiya gaya hai jiski price Rs 9.75 lakh (ex-showroom) hai. Urban Cruiser me hume Mid Grade variant ke baad High Grade variant ko place kiya hai. Iss variant ki price Rs 9.16 lakhs (ex-showroom) hai. Iss variant par bhi hume automatic transmission dekhne milta hai jiski price 10.66 lakh (ex-showroom) hai.
Vitara Brezza me top spec variant ke niche ZXi variant dekhne miltahai jiski pricing Rs 9.10 lakhs (ex-showroom) hai. Iss variant me Automatic transmission bhi mil jata hai aur iski pricing Rs 10.51 lakh (ex-showroom) ho jaati hai. Ye variant, top-spec variant ke comparison me reverse camera, driver arm rest, rain sensing wipers, LED fog lamps jasie features miss out kar jaati hai.
Maruti Vitara Brezza ke top variant ko ZXi Plus ka tag diya hai. Ye variant manual aur automatic transmission me available hai. Manual Transmission ki pricing Rs 9.75 lakhs (ex-showroom) hai aur automatic transmission ki Rs 11.16 lakhs (ex-showroom). Toyota Urban Cruiser ke top spec variant ko Premium Grade ka badge diya hai. Ye variant ke manual transmission ka price Rs 9.81 (ex-showroom) aur automatic transmission ka price 11.31 lakhs (ex-showroom) hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.