Maruti YY8 to Be the First Electric Vehicle Planned for 2024

Maruti YY8, Maruti Suzuki ki first electric vehicle ho sakti hai jisse 2024 me launch kiya jaa sakta hai. Maruti Suzuki ke currently Indian market me a lot of vehicles hai jo kafi popular hai among the customers. Maruti Suzuki apne vehicles ko first-time car buyers ko target karta hai jo affordable and value for money product dhoond rahe hai. Currently, Indian market me EV space me kafi zyada boom dekhne mila hai already auto-manufacturers ne apna focus electric vehicles ke taraf shift kar diya hai. Rumors se ab pata chala hai ki Maruti, India me first EV ko 2024 me launch kar sakta hai jisse internally YY8 ka codename diya gaya hai.

Maruti YY8 to Be the First Electric Vehicle Planned for 2024

Maruti Suzuki Electric Vehicle Rendered

Maruti YY8 Vehicle Details

Maruti Suzuki ne kuch time pehle Japan spec Wagon-R ke test mules ko Indian roads par deploy kiya tha for test purpose but later, Wagon-R electric ke plans ko shelve kar diya. Hum expect kar rahe the ki Maruti EV segment me enter kare with a hatchback vehicle but ab report se pata chal raha hai ki Maruti YY8 mass-market mini SUV vehicle hogi jo competitor hogi of Tata Punch EV.

Maruti YY8 ke regarding zyada information available nahi hai. Sources se pata chala hai ki iss car ke production ko Maruti Suzuki ke Gujarat plant me kiya jaane wala hai. Reports ye bhi kehta hai ki Maruti – Toyota jointly iss vehicle par kaam kar sakte hai and another cross badge vehicle dekhne mil sakta hai.

Suzuki X-Bee Concept

Iss EV ke details ki baar kare toh iss car me either Maruti ki lightweight HEARTACT platform or Toyota ka DNGA platform use kiya jaa sakta hai. Toyota ke DNGA platform use karne se iss car ko global market me sell kiya jaa sakta hai.

Maruti YY8 me kai saare SUV type elements dekhne mil sakte hai like chunky wheel arches, plastic body cladding, roof rails, muscular front and rear end, high ground clearance and so on. Iss EV me hume lithium-ion battery dekhne mil sakta hai and a range of 250-300 Kms expect kiya jaa sakta hai.

Maruti YY8 heavy localization ke saath develop kiya jaayega and mass market segment ko target kiya jaayega. Iss EV ki pricing under Rs 10 Lakhs ho sakti and might be ye car Indian market me cheapest EV on offer bhi ho sakti hai. Iss car ko 2024 AutoExpo me debut kiya jaa sakta hai and subsequently later in 2024 launch kiya jaa sakta hai.

Maruti Wagon R EV

 


IndianTorque hain one of its kind and India’s first HINGLISH automotive website jaha pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti hain, yaha pe aapko unbiased review, comparison bhi milenge jis se aapko apne liye perfect vehicle choose karne me aasani ho. So guys notification on kar lijiye IndianTorque.com so that koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram