MG Astor Trademark Filed – Petrol Variant of ZS EV

MG Astor Trademark Filed – Petrol Variant of ZS EV – MG Motors ke liye 2021 year busy raha hai. MG ne year ko start karte hue Hector facelift and 7-seater Hector Plus SUV ko launch kiya tha. Recently, MG ne ZS EV ke facelift variant ko bhi launch kiya tha. 2020 Auto Expo me, MG ne ZS Petrol ko showcase kiya tha. MG ZS Petrol ke test units hume kai baar spot kiye the. MG ne ab  Astor ka trademark register kiya hai jo unki upcoming vehicle ho sakti hai.

MG Astor Trademark Filed – Petrol Variant of ZS EV-

MG Astor Trademark

Image Source – Motorbeam.com

MG ZS Petrol to be named as Astor-

MG motors India me ZS ko EV form me offer karta hai. International market me MG ZS ko petrol engine ke saath bhi offer karta hai. Compact SUV ki demand India me kafi zyada hai aur MG iss segment ko bhi explore karna chahta hai. MG Astor ek compact SUV hogi jisse Hector ke below position kiya jaayea. Iss SUV me hume reworked front grille, LED headlamps, LED DRLs, revised bumper and LED tail lamps dekhne mil sakta hai. MG Astor me hume new alloy wheels and larger 10.1 inch touschreen infotainment system with connected tech bhi offer ho sakte hai.

MG ZS Petrol Rear

MG Astor Engine-

MG Astor me hume 1.5-litre VTi petrol engine offer ho sakta hai jo 118 BHP aur 150 Nm torque produce karti hai. Hume iss SUV me 1.3-litre turbo petrol engine bhi dekhne mil sakta hai jo 161 BHP aur 230 Nm torque produce karti hai. Dono engines me manual and automatic transmission offer honge.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram