MG Hector 7-seater to Launch in Jan 2021

MG Hector 7-seater to Launch in Jan 2021 – MG Motors ki India ki first SUV, Hector ko Indian market me 5 seater aur 6 seater (Hector Plus) me offer kiya jata hai. MG Motors jald hi, Hector ke 7-seater variant ko January 2021 me launch karne wala hai.

MG Hector 7-seater to Launch in Jan 2021-

MG Hector Plus Images

MG Hector 7-seater-

MG Motors ne Hector SUV ko Indian market me 2019 me launch kiya tha. Ye car segment ki most selling car hai. 2020 me MG ne Hector Plus launch kiya jo iss car me additional seating provide karta tha. Abhi MG Motors se confrirmation mila hai ki January 2021 me hume MG Hector ka 7-seater variant dekhne milega. Additional seating ke alawa iss car ke design me thode changes bhi dekhne milenge. Iss car me hume new front grille, new alloy wheels, dekhne mil sakte hai.

MG Hector Plus

 

MG Hector 7-seater Engine-

MG Hector 7-seater  ke engine me koi bhi changes nahi dekhne milega. Iss car me hume 3 engine options dekhne milta hai- 1.5-litre turbocharged petrol, 1.5-litre petrol hybrid, and 2.0-litre turbocharged diesel. 1.5-litre turbocharged petrol aur petrol hybrid engine 141 HP aur 250 Nm torque produce karte hai. Iss engine me 6 speed manual transmission aur DCT gearbox mil jaata hai. 2.0-litre turbocharged diesel engine 141 HP aur 350 Nm torque produce karti hai. Iss engine me 6 speed manual transmission milta hai.

MG Hector Facelift Front

 

MG Hector ke 7-seater model ka launch January 2021 me hoga .Additional seating ke update ke baad iss car ke pricing me hike dekhne mil sakta hai. Ye car compete karti hai Jeep Compass, Tata Harrier se.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram