MG Hector Facelift Spied

MG Hector Facelift Spied – MG Hector ko Indian market me launch hue 18 months ho gaye hai. Iss car ne SUV segment me kafi accha perform kiya hai. Recently, TVC shooting ke dauran hume MG Hector ke facelift model dekhne mila.

MG Hector Facelift Spied-

MG Hector Facelift Front

MG Hector Facelift Exterior-

Spy shots se hume iss car ke facelift me milne wale upadtes ka information milta hai. Iss car me hume front me new grille with diamond inserts dekhne milta hai. Saath hi hume redesigned bumper bhi dekhne mil jata hai. Headlamps ke design aur position me koi bhi changes nahi hai. Iss car me hume new alloy wheels bhi dekhne milta hai jiska size, previous model se larger hai. Rear me hume slightly redesigned tail lights dekhne mil jaata hai.

MG Hector Facelift

MG Hector Facelift Interior-

MG Hector Facelift model ke interior ke regarding zyada information available nahi hai par spy shots se hume pata chalta hai ki iss car ke dashboard ko new colour scheme milta hai. Dashboard me soft touch leather material ka bhi use kiya gaya hai. Iss car me hum vertical infotainment system, ambient mood lighting, powered tailgate aur panoramic sunroof jaise features previous model se continue kiye hai.

MG Hector Facelift Images

 MG Hector Facelift Engine-

MG Hector Facelift ke engine me koi bhi changes nahi dekhne milega. Iss car me hume 3 engine options dekhne milta hai- 1.5-litre turbocharged petrol, 1.5-litre petrol hybrid, and 2.0-litre turbocharged diesel. 1.5-litre turbocharged petrol aur petrol hybrid engine 141 HP aur 250 Nm torque produce karte hai. Iss engine me 6 speed manual transmission aur DCT gearbox mil jaata hai. 2.0-litre turbocharged diesel engine 141 HP aur 350 Nm torque produce karti hai. Iss engine me 6 speed manual transmission milta hai.

MG Hector Facelift Rear

MG Hector ke facelift model ka launch early 2021 me expect kar sakte hai. Facelift ke update ke baad iss car ke pricing me hike dekhne mil sakta hai. Ye car compete karti hai Jeep Compass, Tata Harrier se.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram