MG Hector Soon To Be Offered With CVT Transmission – MG Hector ko Indian market me 2019 me introduce kiya gaya tha. Hector SUV ne launch ke saath hi apna mark bana liya aur kafi kum time me popular ho gaya. Iss SUV me he loads of features offer kiye jaate hai jisse consumers attract hue. 2021 me MG ne facelifted Hector ko launch kiya jisme hume few cosmetic changes dekhne mile. Ab hume information mili hai ki MG jald he Hector ko CVT transmission ke saath offer karega.
MG Hector Soon To Be Offered With CVT Transmission-
MG Hector with CVT Transmission-
MG Hector me hume three engine options dekhne milta hai – 1.5-litre turbocharged petrol, 1.5-litre turbocharged petrol hybrid and 2.0-litre turbocharged diesel. Transmission options ki baat kare toh, 1.5-litre turbocharged petrol engine me hume 6 speed manual and DCT gearbox ka option milta hai, 1.5 –litre turbocharged petrol hybrid and 2.0-litre turbo diesel engines me hume only 6 speed manual transmission ka option milta hai.
Hum expect karte hai ki MG CVT gearbox ko turbo petrol-hybrid ya turbo diesel engine ke saath offer kare. CVT auto gearbox ke offering ke saath MG Hector ke price me increase dekhne mil sakta hai. Also, CVT auto hume Hector ke top two variants – Smart and Sharp me hee offer honge. Entry level variants me manual transmission hee offer hoga.
MG Hector SUV Details-
MG Hector, MG Motors ki India ke pehli offering hai jisse 2019 me launch kiya gaya tha. 2021 me MG ne updted facelifted Hector ko launch kiya. MG Hector me hume front chrome grille, full LED headlamps, LED DRLs, LED tail lamps, 18 inch diamond cut alloy wheels, wireless charging, and i-SMART connectivity with HINGLISH voice command options dekhne mil jaata hai. MG Hector ki pricing Rs 12.89 lakhs to Rs 18.32 lakhs (ex-showroom) hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.