MG Hector Vs Citroen C5 Aircross Comparison

MG Hector Vs Citroen C5 Aircross Comparison – MG Hector Vs Citroen C5 Aircross- Aaj hum compare karenge ek newly launched Brand Citroen ki C5 Aircross aur MG Hector jo rahi hain bahot successful launch hone ke baad se hee. MG Hector SUV toh nahi but MUV ke style ko zada follow karti hain. MG Hector ek family car jo aapko SUV waali feel aur MUV wala space provide karti hain.

MG Hector Vs Citroen C5 Aircross Comparison-

All-new 2021 MG Hector

MG Hector Vs Citroen C5 Aircross Dimensions

MG Hector ka size jo hain 4655 x 1835 x 1760 mm agar compare kiya jaaye Citroen C5 Aircross ke size se jo hain 4500 x 2099 x 1710 mm toh aap dekh sakte hain MG Hector ki length aur height C5 Aircross se zada hain. Baat kare Wheelbase ki toh Hector ka 2750 mm ka wheelbase par bani hain aur C5 Aircross 2730 mm par bani hain.

Citroen C5 Aircross SUV.jpeg

 MG Hector Vs Citroen C5 Aircross Engine Details-

MG Hector mein aapko total 3 engine options milte hain: 2.0L Diesel, 1.5L Petrol aur 1.5L Petrol smart Hybrid. 2.0L Diesel engine produce karta hain 167.68Bhp ki Max. Power aur 350Nm ka Max. Torque, 1.5L Petrol engine produce karta hain 141Bhp ki Max. Power aur 250Nm ka Max. Torque. Petrol engine mei aapko manual ke saath DCT aur CVT transmission bhi offer karti hain MG.

Citroen C5 Aircross mein aapko initially sirf ek engine option offer kiya jayega jo hain 2.0L Diesel engine jo produce karta hain 174Bhp ki Max. Power aur 400Nm ka Max. Torque. Citroen sirf 8-Speed Automatic gearbox offer karega iss engine ke saath.

MG Hector Centre Console

MG Hector Vs Citroen C5 Aircross Features-

MG Hector mein aapko recent facelift mein LED headlamps, LED DRLs, redesigned bumper, New grille, New Diamond-cut alloy wheels dekhne milenge Exterior mein, aur wahi interior mein aapko Ventilated Front seats, Wireless Charging, Dual-tone beige and black upholstery aur Voice commands jaise features dekhne mil jayenge.

Citroen C5 Aircross ke exterior mein aapko LED headlamps, LED DRLs, Front parking sensors, 18-inch diamond cut alloy wheels, Plastic cladding jaise features dekhne mil jayenge. Interior mein aapko dark and light grey themed interior, leather seat upholstery, door pads, 8-inch touchscreen Infotainment with Android Auto & Apple CarPlay aur 12.3-inch MID jaise features dekhne mil jayenge.

Citroen C5 Aircross Interior.jpeg

 MG Hector Vs Citroen Safety Features-

MG hector mein aapko 6-airbags, Tyre pressure monitoring system, ESP, ABS, EBD, Traction control system, front parking system, Heated ORVMs jaise features offer karegi MG.

Citroen bhi apni New SUV C5 Aircross mein Blind Spot Monitoring, Hill start & Descent assist, 6-airbags, Electric parking brake, Park assist with automated steering for parking aur 5 driving modes- Standard, Snow, All-terrain, sand & Traction-off jaise features offer karegi.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram