MG ZS Petrol to Launch in India in 2021

MG ZS Petrol to Launch in India in 2021 – MG ZS EV ko January 2020 me launch kiya gaya tha. Ye car MG ki India ki 2nd offering thi after Hector. 2020 AutoExpo me MG ne ZS Petrol model showcase kiya tha. MG ZS Petrol ko testing karte hue spot kiya gaya tha aur ab hume confirmation milta hai ki iss car ko 2021 me Indian market me dekha jaa sakte hai.

MG ZS Petrol to Launch in India in 2021-

MG ZS Petrol

MG ZS Petrol Looks-

MG ZS petrol model ka design EV model jaisa hee hai. Iss car ki dimensions 4314mm x 1809mm x 1620mm hai. Iss car ki wheelbase, 2585mm hai. Iss car ke front me hume honeycomb pattern grille dekhne milta hai jiske centre pe hume signature MG logo bhi dikhta hai. Iss car me projector headlamps, LED DRLs, alloy wheels aur LED taillamps dekhne mil jaate hai. Iss car ke interior me hume 10.1 inch iSmart touchscreen infotainment system, automatic climate control, keyless smart entry, engine start stop, airbags, ABS with EBD aur sky roof jaise features dekhne mil jaate hai.

MG ZS Petrol Images

MG ZS Petrol Engine-

MG ZS international market me two petrol engine options ke saath available hai – 1.5-litre VTi petrol engine jo 118 BHP aur 150 Nm torque produce karti hai aur 1.3-litre turbo petrol jo 161 BHP aur 230 Nm torque produce karti hai. Dono hi engine options me 5 speed manual aur 6 speed automatic gearbox available hai.

MG ZS Petrol Rear

MG ZS petrol ka launch hum mid 2021 me expect kar sakte hai. Ye car Indian market me Hyundai Creta, Kia Seltos aur Nissan Kicks ke saath compete karegi


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram