New Mahindra Thar Base Variant In The Works | 2021 Variant

New Mahindra Thar base variant in the works- Mahindra Thar ka new generation launch hua tha last year 2020 mein and kaafi high demand rahi hain yeh highly capable off-roading machine on 4 wheels. Mahindra Thar ke currently do variants hain on offer jo hain AX opt and LX. LX currently top end variant hain Mahindra Thar ka and AX opt hain current base variant.

But recent updates ke according Mahindra kaam kar raha hain new base variant launch karne ki jisme as of now bataya gaya hain ki 4×4 offer nahi kiya jayega. So aur kya kya changes and features hata diye jayenge upcoming new Mahindra Thar base variant se lets have a look.

New Mahindra Thar Base Variant In The Works | 2021 Variant-

New Mahindra Thar base variant

New Mahindra Thar Base Variant: All details-

So jaisa ki humne aapko bataya ki upcoming Mahindra Thar ke base variant mein 4×4 offer nahi kiya jayega abb iska reason kaha jaa sakta hain ki toh reduce cost Mahindra thode more affordable price bracket mein yeh variant launch karega toh cost cutting karne ke liye different powertrain without 4×4 off-road capability Thar ke base variant rahega on offer.

New Mahindra Thar base variant mein completely new powertrain offer ki jayegi jo hogi 1.5L petrol engine with 3-cylinder layout. Ji haan guys 3-cylinder engine ke saath ayega yeh new base variant and offer kiya jayega with 6-speed manual and automatic transmission options.

Power and torque figures mein bhi changes dekhne ko milenge kyuki obviously 3-cylinder hain toh torque figures mein definitely reduction dekhne milega hee. New Mahindra Thar base variant mein engine offer kiya jayega with reduced power figures jisse yeh variant of Thar more fuel efficient and affordable ban jayega and appeal karege to a wider range of audience ko jo log usually road driving and rarely off-road jaate hain.

Features ki agar baat kare toh as such koi update nahi mili hain ki kaunse features remove kiye jayenge and kaunse add but New Mahindra Thar base variant mein smaller size of tyres dekhne ko mil sakte hain because of being more road oriented.

New Mahindra Thar: Existing engine details-

Currently Mahindra offer karta hain do engine options jo hain 1.5L turbo petrol which produces 150Bhp ki max. power and 320Nm ka max. torque offered with 6-speed manual and 6-speed torque convertor unit in automatic transmission.

Second engine option hain 1.3L diesel engine jo produce karta hain 130Bhp ki max. power and 300Nm ka max. torque offered with 6-speed manual and 6-speed torque convertor unit in automatic transmission.

New Mahindra Thar interior layout and features-

New Mahindra Thar ke combination hain of retro styling with tech savvy features on offer. Dashboard ka design ko zyada complicated nahi rakha gaya hain kaafi simple and ergonomically useful.

New Mahindra Thar base variant

Key features on offer: 7-inch touchscreen infotainment system with navigation, electric adjustable ORVMs, TPMS, voice commands, cruise control, steering mounted controls, electrically operable AC etc.

 


A word from the team: so guys recent rise in covid cases ki wajah se India mein medical aid mein shortage experience ki jaari hain, and people in need toh kaafi suffer kar rahe hain. So we urge you all to take all the necessary precautionary measures jaise masks pehene, use of sanitizers and ho sake toh ghar ke bahr na nikle jitna ho sake and yes guys apne aas paas hygiene maintain kare. Also bina apni safety compromise kiye needy logo ki help zaroor se kare.

IndianTorque hain one of its kind and India’s first HINGLISH automotive website jaha pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti hain, yaha pe aapko unbiased review, comparison bhi milenge jis se aapko apne liye perfect vehicle choose karne me aasani ho. So guys notification on kar lijiye IndianTorque.com so that koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram