Next Generation KTM RC Series Motorcycle Spotted on Test in India

Next Generation KTM RC Series Motorcycle Spotted on Test in India – KTM ne recent times me Duke series ke saare motorcycle ko design changes ke saath launch kiya hai. KTM ke Indian market, ek important market hai jahan par KTM ne kafi kum time me huge success achieve kiya hai. KTM ne RC series motorcycle par koi major design update nahi kiya hai aur ye long time due hai. Kuch samay pehle, hume next-gen RC 390 ke spy shots dekhne mile jahan iss bike ko new design ke saath Austria me spot kiya gaya  tha. Ab hume first time new KTM RC series ke motorcycle ko Indian roads par spot kiya.

Next Generation KTM RC Series Motorcycle Spotted on Test in India-

Next Gen KTM RC Spotted

Next-Gen KTM RC Series Motorcycle-

2021 KTM RC series me hume completely new design dekhne milega aur motorcycle older generation se alag hoga. India me jo prototype spot hua woh KTM RC 200 ya KTM RC 125 ho sakta hai. Previously, hume 2021 RC 390 ke spy images dekhne mile jahan hume clearly iss bike pe laga hua side mounted exhaust dekhne mila but iss prototype me hume under-belly exhaust dekhne mila hai jo hume usually KTM ke 200 and 125 engines ke saath milta hai.

Design ki baat kare toh, iss bike ke har panel ko rework kiya gaya hai aur kai saare changes kiye gaye hai to give this bike a completely new look. Iss bike pe hume Duke inspires headlamp dekhne milega instead of dual projector headlmaps jo hume previously offer hota tha. Saath hi, hume iss bike pe new digital instrumrnt cluster bhi offer kiya jaa sakta hai. Iske alawa hume inn bikes me same front USD fork, rear monoshock, front and rear disc brakes and single channel ABS offer honge.

Next Gen KTM RC Side Profile

2021 KTM RC200, RC125 Engine Details-

2021 KTM RC200 and RC125 me same engine offer honge without any change. Dono bikes ke engines ko BS6 compliant kar diya gaya hai aur KTM inhe retain karne dekhega. 2021 KTM RC200 me hume 199.5cc, single cylinder, liquid cooled engine offer hoga jo 25 HP and 192 Nm torque produce karta hai. KTM RC125 me 125cc, single cylinder, liquid cooled engine offer hoga jo 14.5 HP and 12 Nm torque produce karta hai. Dono bikes me hume 6 speed transmission offer hote hai.

Next Gen KTM RC Rear

 

Source – Rushlane


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram