Nissan Kicks Turbo VS Renault Duster Turbo

Nissan Kicks Turbo VS Renault Duster Turbo – Ye question bhot bar pucha jata hai ki kya Kicks Turbo lena chahiye ya Duster Turbo. Dono gaadi apne aap me best experience deti hai. Dono me ek hi engine hai. HR13 Mercedes sourced. And power output bhi same hai. To chaliye kuch bate jan lete hai ki kis vajah se aapko Nissan Kicks lena chahiye or kis vajah se aapko Renault Duster lena chahiye.

Nissan Kicks Turbo VS Renault Duster Turbo – 

Sabse pahle specification ki bat karte hai jo ki common hai dono hi gaadiyo me.

Specifications –

Engine – HR13DDT, 1330 cc, 4 Cylinders Inline, 4 Valves/Cylinder, DOHC
Power – 154BHP 5500rpm
Torque – 256nm 1600rpm
Gearbox – 6 Speed manual/CVT

Why To Choose Renault Duster – 

Sabhi gaadi ke apne pros and cons hote hai. Vese hi Duster ke hi hai. Ki iska interior ab kafi old sa feel hota hai. Cruiser control ke switches sahi se place nahi kiye huye hai. Seat ka fabric or acha ho sakta hai. Sunroof offer nahi karte. And infotainment system ka interface user friendly nahi hai. Vahi sound quality improve ki ja sakti hai.

But, Jab aap ise chalana shuru karte hai. Aap features use karna bhool jate hai, Ride quality is segment me sabse best hai. Kharab rasto me gaadi aese nikal jati hai. jese gaadi ko vahi chalne me maja aata hai. Vahi agar bat kare iske steering feedback ki to vo bhi kaafi acha hai.

But city traffic me thoda aapko weight jyada feel hoga sath hi jab aap tight spot pe turn lenge tab bhi aapko thodi pareshani aayegi. Vahi breaking kaafi achi hai. Or visibility bhi aapko kaafi achi mil jati hai driver seat se.

Overall ye pata chalta hai ki gaadi features ke mamle mai itni achi nahi hai but. Jise gaadi chalae me maja aata hai. Use isse acha experience is segment me nahi mil sakta hai.

Why To Choose Nissan Kicks – 

Yaha aapko 360 camera mil jata hai jo ki defiantly segment first feature hai. Price range mai. Baki Kicks ek proper family vehicle ke hishab se use ki ja sakti hai. Because iska interior kaafi acha hai. And seats kaafi acha comfort offer karti hai. Space bhi aapko kaafi acha mil jata hai. And boot space bhi 5 logo ke liye badiya hai. Infotainment system me improvement kiye ja sakte hai. Or Isme Sound ke controls steering ki jagah Niche ki side diye hai. Arab Country me jese dete hai

Nissan Kicks Turbo VS Renault Duster Turbo

Jab chalane ki bat aati hai to kicks bhi aapko kaafi badiya ride quality offer karti hai. Vahi iska 210mm ka ground clearance gaadi ko kahi bhi leke jane ka confidence offer karta hai. Vahi ise aap lambe rasto me bhi continues drive karte hai tab bhi aapko jyada thakan mahsoos nahi hoti hai. Ha Sunroof yaha bhi nahi milta hai.

Overall isme aapko kuch ache features mil jate hai. or achi driving quality mil jati hai.

Conclusion –

Bat to dono gaadiyo ki karli ki kisme kya acha mil jata hai. But konsi leni chahiye. Duster no doubt chalane me bahut hi badiya hai. But kahi na kafi aapko features ki kami mahsoos hogi or interior khas karki dashboard bahut old sa feel hoga. But vahi Renault ka service network Nissan se strong hai.
Vahi kicks ek complete Package lagti hai jiseme Duster se acha interior or jyada features mil jate hai. Vahi Ride and handling no doubt dono ki hi kaafi badiya hai.

To Jab Compare karte hai. Ki kise choose karna chahiye To Nissan kicks thoda aage nikal jati hai. Reault Duster se. Ab aapko sirf ye dekhna hai ki kya Nissan Aapke city me service provide kar raha hai ya nahi?


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram