Nissan Magnite Naturally Aspirated First Drive Impression

Nissan Magnite Naturally Aspirated First Drive Impression – Guys, Magnite ke Trubo Manual and CVT ka Drive review to mene aapke sath pahle hi share kar diya hai. Aaj jo hai mene iske non-turbo version ko drive kiya hai. To kesa raha mera experience aaj jan lete hai. Or aapko pata bhi chak jayega. Ki Kya aapke liye Naturally aspirated engine sahi hai ya Turbo engine.

Nissan Magnite Naturally Aspirated First Drive Impression

Nissan Magnite Naturally Aspirated First Drive Impression –

Magnite Non-Turbo ko chalana start kiya or sabse pahle jo mene feel kiya vo ye ki kafi peppy fell hota hai city ke hishab se. But vahi jab ise aap thoda jyada pull karoge to iske engine ka sound cabin me aane lagta hai jo ki thodi der bad me hi aapko irritated karne lagega or aap vapis ise 2000-2500rpm ke bich me chalna start kardenge.

Nissan Magnite Naturally Aspirated Gearshift –

Vahi Gearshifts ki bat kare to aapko bahut jyada soft shift nahi milne wale but ha aap thode din ise chalayenge to aapko iski aadat ho jayegi. Vahi breaks ki complain mene Turbo me ki thi ki CVT automatic me aapko jyada aache break bites feel hote hai.
Or non turbo ki bat kare to aapko 50-70 ki speed tak pareshai nahi aayegi. But kabhi aap 90 ya tripple digit kar rahe honge to definitely aapko feel hoga ki breaks or ache ho sakte the.

Nissan Magnite Naturally Aspirated First Drive Impression

Nissan Magnite Naturally Aspirated Steering Feedback –

Steering wheel thoda sa hard hai but usse confidence pura bana rahta hai. Feel and feedback acha hai. Par vahi aapko turn lena ho slow speed me ya park karni ho tab aapko lagega ki thoda steering me weight kam hota to acha hota.

Nissan Magnite Naturally Aspirated Mileage –

Ye 1.0L Naturally aspirated engine ki yahi khasiyat hai ki ye mileage kafi acha deta hai. Or yahi iski sabse badi acchai baki sab kamiyo ko chupa deti hai. Ab numbers to aapko alag alag milege because sabhi ki driving alag alag hoti hai. But on an average iski mileage city me 12-14kmpl or highway pe 18kmpl+ bhi aap isse nikal sakte hai.

Conclusion –

Jinhe city me drive karna hai, Roads bahut kharab hai. Or Nissan ka service centre available hai to aapko definitely Magnite Non-Turbo ko consider karna chahiye. Or vahi agar aapko highway running jyada hai to aapko Turbo engine ke sath jana chahiye.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram