Renault Kiger Price Expectations

Renault Kiger Price Expectations – Renault Kiger rahegi French car manufacturer ki popular compact B-SUV segment ki latest launch, Renault Kiger ka global official launch India mei ho chuka hain. Kiger ka production Nissan Magnite ke saath kiya jayega Renault-Nissan plant mein.

Expected price Renault Kiger ka rahega Rs.5.50 lakh – Rs.9.30 lakh (ex-showroom). Company claim kar rahi hain Kiger ko India ki sabse affordable compact SUV hain baaki saari segment ki compact SUVs ke comparison mein.

Renault Kiger Price Expectations-

Renault Kiger

Renault Kiger Details-

Kiger based hain CMFA+ platform jo ki Renault Triber and Magnite bhi, Kiger ke exterior mein kaafi saare elements similar milenge Renault Kwid se, aur toh aur interior mein bhi Kiger ka interior influenced rahega Renault Triber se.

Renault Kiger ka design kaafi sporty aur muscular diya gaya hain bahr se, with a two-slat front grille and eye-brow type LED DRLs. Front bumper pe aapko three-pod projector headlamps with a centre-placed air inlet aur skid plate dekhne milegi bumper ke bottom pe.

Peeche ke look ko enhance karege Renault ke C-shaped split taillamps, sporty roof-mounted spoiler aur ek badi silver faux plate bumper ke neeche. Yeh features denge Kiger ko ek sporty Compact SUV ki look.

Interior mein bhi Renault ne kaafi saari modern aur smart features daale hain, 8-inch ka touchscreen infotainment system with Android Auto aur Apple CarPlay, 7-inch multimedia TFT display wala Instrument cluster, sporty three-spoke steering wheel, wireless charging, ambient lighting, Air purifier, keyless entry aur Arkamys ka Sound system dekhne mil jayega new Kiger mein.

Renault Kiger Front

Renault Kiger Engine –

Engine options ki baat kare toh Renault iss baar turbo-petrol engine ka option bhi offer karegi jo hoga 1.0L Turbo-petrol jo produce karega 99bhp aur 160Nm torque with 5-speed manual, 5-speed AMT aur CVT transmission options. Turbo ke saath naturally aspirated petrol engine ka option bhi offer kiy jayega dono manual aur automatic mein. 3 Driving modes bhi offer kiye jayege, Normal, Eco and sports.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram