Renault Kiger Global Unveil on 28th January – Comapct SUV segment Indian market me kafi popular segment hai. Iss segment me saare manufacturers apne vehicles ko launch kar rahe hai aur isse market me competition bhi badh raha hai. Renault ne recently apne subcompact SUV, KIGER ka concept variant showcase kiya tha jissne kafi attention grab kiya. Renault, Kiger ke production variant ko bhi Indian roads pe test kar raha tha jiske spy shots hume dekhne mile. Renault, ne ab announce kiya hai ki woh Kiger sub-compact SUV ko 28th January 2021 ko globally unveil karega.
Renault Kiger Global Unveil on 28th January-
Renault Kiger Specification-
Renault Kiger ko CMF-A platform pe built kiya gaya hai. Issi same CMF-A platform par Nissan Magnite ko bhi built kiya hai jo recently launch hui. Iss CMF-A platoform ko develop kiya gaya hai as a part of Nissan – Renault – Mitsubishi alliance. Ye platform multiple body types aur powertrains ko support karta hai aur manufacturing cost ko bhi reduce karta hai. Renault Kiger me hume split LED headlamps with LED DRLs, front grille, dual tonne alloy wheels, LED tail lamps, and sunroof jaise features dekhne mil sakte hai. Interior me hume, horizontally positioned AC vents, 8 inch touch screen infotainment system with Apple Carplay and Android Auto, automatic climate control, 3 spoke steering wheel with mounted controls, push button start and digital instrument cluster jaise elements dekhne mil sakte hai.
Renault Kiger Engine-
Renault Kiger hume only petrol engine me offer hoga. Iss car me hume 1.0-litre naturally aspired petrol engine dekhne mil sakta hai jo 71 HP aur 96 Nm torque produce karti ho. Iss engine ko 5 speed manual gearbox ke saath combine kiya jayega. Renualt Kiger me hume 1.0-litre turbocharged petrol engine ka option bhi mil sakta hai jo 100 HP aur 160 Nm torque produce karti ho. Iss engine me hume 5 speed manual aur 6 speed automatic transmission mil sakta hai.
Renault Kiger compete karegi Hyundai Venue, Kia Sonnet, Maruti Vitara Brezza, Tata Nexon, Nissan Magnite, Ford Ecosport aur Mahindra XUV 300 se. Iss car ki pricing Rs 5.5 lakh – Rs 11 lakhs (ex-showroom) tak ho sakti hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.