Renault Kiger RXE Variant Details

Renault Kiger RXE Variant Details – Kiger Renault ki sub-4 metre compact SUV hain jisko recently 15th February 2021 ko launch kiya hain Renault ne Indian market mein, Indian market ke sub-4 metre segment ke competition ko dhyaan mein rakhte hue Renault Kiger ko sirf Indian market ke liye design kiya gaya hain. Renault in total 4 variants offer karta hain Kiger mein jo hain RXE, RXL, RXZ and RXZ, inn variants mein Renault 2 engine options offer karta hain 1.0L naturally aspired aur 1.0L turbo-charged petrol engine.

Aaj hum discuss karenge Kya kya features offer karta hain Renault Kiger ke base variant mein jo hain RXE.

Renault Kiger RXE Variant Details-

Renault Kiger RXE Variant Specifications-

Dimensions: 3991mm x 1536mm x 1605mm

Wheelbase: 2500mm

Boot Space: 405 Litres
Fuel Tank Capacity: 40 Litres

Renault kiger mein hume comfortable rear seats aur better bootspace milta hain, iss gaadi mein ground clearance bhi Indian roads ke according kaafi accha diya gaya hain.

Renault Kiger FrontRenault Kiger Front

Renault Kiger RXE Variant Features-

LED DRLs

Turn indicators on ORVMs

Satin Silver roof rails

16-inch steel wheel with wheel covers

Rear spoiler

Renault Kiger ke base variant ke interior mein 3.5-inch ka instrument cluster, Adjustable front head-rests, 12V charging sockets, front power windows jaise convenient features offer karega Renault.

Renault Kiger Front Images

Renault Kiger RXE Variant Safety features-

ABS

EBD

Dual-airbags

Rear parking sensors

Renault Kiger mein major safety features jaise ABS aur front airbags offer kiye hain Renault ne, jisse Kiger ke base variant customers ke liye ek safe gaadi prove hogi.

Renault Kiger RXE Variant  Engine Details-

Renault Kiger mein sirf ek hee engine option offer karta hain Renault jo hain 1.0L Energy naturaly aspirated petrol engine jo produce karta hain 72PS ki power aur 96Nm ka torque, iss engine mein sirf 5-speed manual gearbox ka option offer karta hain Renault.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram