Renault Kiger Top 5 features – Renault karegi entry ab sub-compact SUV segment me apni new Kiger ko launch karke, Renault kiger ka production variant officially 28 th January 2021 ko launch kiya jayega globally. Renault Kiger resemble karegi apni sister brand Nissan ki Magnite se, par apne kaafi features aur parts share karegi Renault Triber ke saath.
Renault Kiger Top 5 Features
Baat karte hain unn 5 features ki jo confirmed hain ki Renault karegi offer apni new sub-compact SUV Kiger mein:
1. Engine: Renault offer karegi 2 engine options Kiger mein,
A – 1.0L 3-cylinder naturally aspirated petrol engine producing 72hp power.
B – 1.0L 3-cylinder turbo-charged petrol engine producing 100hp power.
*dono engines mei 5-speed manual aur CVT automatic mei offer karegi Renault.
2. Sunroof: Renault Kiger ke production variant mei Sunroof expect kari jaa sakti hain kyuki bahot saare spy-shots mein roof buldged dekhi gayi hain jisse mana jaa sakta hain ki Renault offer karega sunroof atleast higher trims mei.
3. Interior: Kiger ka interior inspired hain Triber ke interiors se, bahot saare elements Triber se liye gaye hain.
1 – 8-inch touchscreen infotainment system with Android Auto and Apple
CarPlay.
2 – Digital instrument cluster.
3 – 3-spoke steering wheel with mounted controls
4 – Automatic Climate Control.
5 – Push-button start stop.
6 – Newly designed horizontally AC vents.
4. Exterior: Renault ne features jaise, LED headlamps with LED DRLs, stylish grille, clam- shell bonnet design, diamond-cut alloy wheels, Kwid style LED tail lamps diye hain jisse Kiger ka look bahar se bahot trendy aur smart appeal dega.
5. Expected price range: iski pricing Renault ne kaafi dhyaan se ki hain so that Kiger apne competitors ke muqable affordable aur value for money Sub compact SUV bane jaye. Ek taraf jaha Nissan Magnite ne 15000 plus bookings register Karli hain, toh doosri taraf Kaha yeh bhi jara hain ki Renault Kiger hogi India ki sabse affordable compact SUV.
*expected price: Rs.5.50 – Rs.9.30 lakh.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.