Auto in Hinglish

Renault Kiger vs Nissan Magnite Comparision

Renault Kiger vs Nissan Magnite Comparision – Renault Kiger, subcompact SUV segment ki latest offering hai. Kiger ke concept model ko late 2020 me showcase kiya tha aur iss car ka production variant, concept model se 80 percent similar hai. Renault Kiger ko ko CMF-A platform pe built kiya gaya hai. Issi same CMF-A platform par Nissan Magnite ko bhi built kiya hai. Renault Kiger me hume loads of features offer kiye jaate hai.

Nissan Magnite ne Indian subcompact SUV segment ko puri tarah se disrupt kar diya. Nissan ne apni sub-4 meter SUV ko December 2020 me launch kiya kafi aggressive pricing ke saath jisse, Magnite apne sabhi competitors ko undercut karti hai. Launch hone ke kuch hi dino me, Magnite ko over 30,000+ bookings mile jo iss car ke demand ko reflect karti hai.

Renault Kiger vs Nissan Magnite Comparision-

Dimensions-

Renault Kiger ki dimension 3991 mm x 1750 mm x 1600 mm hai. Iss car ka wheelbase 2500 mm hai aur ground clearance 205 mm hai.

Nissan Magnite ki dimension 3994 mm x 1758 mm x 1572 mm hai. Iss gaadi ka wheelbase 2500 mm hai aur ground clearance 205 mm hai.

Renault Kiger Front

Design-

Renault Kiger me hune sporty, smart and stunning design dekhne milta hai. Iss car me hume honeycomb shaped front grille with chrome elements, LED DRLs with integrated turn indicators, split LED headlamps, roof rails, rear spoiler, LED tail lamp and rear skid plate dekhne milta hai. Overall looks ki baat kare toh, Kiger me hume aggressive aur bold design dekhne milta hai.

Nissan Magnite ko kafi bold and aggressive design diya gaya hai. Iss car me hum large front grille, L-shaped LED DRLs, sleek LED headlamps, chrome elements here and there, black body cladding and large wheel arches dekhne milta hai. Iss car me hume roof rails and rear spoiler bhi dekhne milta hai.

Engine-

Renault Kiger hume only petrol engines me offer hota hai. Iss car me hume 1.0-litre naturally aspired petrol engine dekhne milta hai jo 72 PS power aur 96 Nm torque produce karta hai. Iss engine ko 5 speed manual and 5 speed AMT gearbox ke saath combine kiya jata hai. Renault Kiger me hume 1.0-litre turbocharged petrol engine ka option bhi milta hai jo 100 PS power aur 160 Nm torque produce karta hai. Iss engine me hume 5-speed manual aur 5 speed automatic CVT transmission milta hai.

Nissan Magnite me 2 engine options mil jaata hai, 1.0 –litre naturally aspired petrol engine jo 72 Ps power aur 96 Nm torque produce karta hai. Iss engine ko 5 speed manual and 5 speed AMT transmission ke saath combine kiya hai. Dusra engine hai 1.0-litre turbo petrol engine jo 100 PS aur 160 Nm torque produce karta hai. Iss engine ko 5 speed manual aur 5 speed CVT gearbox ke saath combine kiya hai.

Renault Kiger

Features-

Renault Kiger me hume 16 inch diamond cut alloy wheels, 8 inch touchscreen infotainment system with Apple CarPlay and Android Auto connectivity, 7 inch TFT digital instrument cluster, wireless charging, three driving modes – Normal, Eco and Sport, automatic air conditioning system, and air purifier jaise features offer kiye jaate hai.

Nissan Magnite me hume loads of features offer kiye jaate hai. Iss car me hume automatic climate control, electric adjusting and folding mirrors, keyless entry and push-button start, and rear ac vents, wireless mobile charger, wireless Apple CarPlay, puddle lamps, air-purifier and front camera jaise features offer kiye jaate hai.

Nissan Magnite launch date


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram