Renault Kiger vs Nissan Magnite Price Comparison – Renault apni Kiger ka global launch kardia hai jo Indian market mein sabse affordable sub-compact SUV hogi, wahi doosri taraf Nissan ki Magnite hain jo ek aur affordable option hain sub-compact SUV segment mein. Yeh dono sub-compact SUVs engine aur underpinnings share karte hain ek doosre se.
Renault Kiger vs Nissan Magnite Price Comparison-
Renault Kiger mein total 4 variants aate hain aur price range start hoti hain:
Variant: | RXE | RXL | RXT | RXZ |
Energy MT | Rs.5.45 lakh | Rs.6.14 lakh | Rs.6.60 lakh | Rs.7.55 lakh |
Easy-R AMT | Rs.6.59 lakh | Rs.7.05 lakh | Rs.8.00 lakh | |
Turbo CVT | Rs.7.14 lakh | Rs.7.60 lakh | Rs.8.55 lakh | |
X-Tronic CVT | Rs.8.60 lakh | Rs.9.55 lakh |
Nissan Magnite mein bhi 4 variants offer karti hain Nissan:
Variant: | XE | XL | XV | XV Premium |
1.0L MT | Rs.4.99 lakh | Rs.5.99 lakh | Rs.6.98 lakh | Rs.7.55 lakh |
1.0L Turbo MT | Rs.6.99 lakh | Rs.7.68 lakh | Rs.8.45 lakh | |
1.0L Turbo CVT | Rs.7.89 lakh | Rs.8.58 lakh | Rs.9.35 lakh |
Renault Kiger & Nissan Magnite Engine Details-
Renault Kiger aur Nissan Magnite dono hee sub-compact SUVs ko milta hain same 1.0L naturally aspirated petrol engine jo produce karege 72Bhp ki power aur 96Nm ka torque. Ek difference yeh dekhne ko milega aapko inn dono SUVs mein woh hain transmission ke options mein, Renault Kiger mein aapko Turbo petrol engine mein 5-speed manual aur AMT gearbox ka option karegi Renault wahi doosri taraf Nissan sirf Automatic gearbox ka option offer karega apne Turbo petrol engine ke saath.
Renault Kiger & Nissan Magnite Key Features-
Renault Kiger mein aapko Renault offer karti hain bahot saare modern features jaise touchscreen infotainment system, full digital instrument cluster, wireless smartphone charger, ambient lighting etc. aur Nissan apni Magnite mein offer karti hain features jaise Nissanconnect with 50+ features & smartwatch connectivity, digital cluster, cruise control, dual airbags etc.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.