Renault Triber AMT India me launch kiya jayega ye to Renault ne Auto Expo 2020 me hi clear kar diya tha sath hi Renault Triber Turbo engine ke sath bhi launch hone wala hai.
Renault Triber AMT
India me abhi sabse cheapest 7 seater car Triber hi hai or isne kai sare logo ki help ki hai. Ek 7 seater car own karne ka dream kam price me pura karne mai. But sirf Petrol engine or manual gearbox option hi available hai abhi Triber me.
4 Variant me Triber available hai or price 4.99L se shuru ho kar 6.82L tak jati hai (Ex-Showroom)
Renault Triber AMT Launch Date –
India me Leaked detail se clear hua hai ki 18 May 2020 ko ise launch kiya jana hai. Or Team-BHP ne bhi apne article me confirm kiya hai ki car ko AMT gearbox ke sath 18th May ko launch kar diya jayega. Jiski image aap niche dekh sakte hai.
Renault Triber AMT Price –
Abhi Triber ki price 4.99Lakh se start hoti hai.
RXE = 4.99L
RXL = 5.78L
RXT = 6.28L
RXZ = 6.82L
AMT ki price 30K-50K increase ho sakti hai. Or RXL and RXT me AMT gearbox introduce kiya ja sakta hai. Sath hi Triber ke variant and drive review Youtube channel pe available hai aap chahe to dekh sakte hai.
Triber BS6 Specification –
Engine – 1.0L petrol
Power – 72bhp
Torque – 99nm
Gearbox – 5 speed
Mileage – 20kmpl Claimed
Renault Triber Drive Details –
Triber ko humne kafi ache time tak chalaya tha and uski details bhi social handles pe share kari thi. Aapko ek bar phir se bata du ki ye gadi ap tab hi lijiye jab aapko ya to luggage jyada carry kar ke jana hota hai. Ya phir kai bar 7 logo ko jana hota hai. but jab aap sabhi seat up karte hai to luggage rakhne ki jagh nahi hoti or jab seat down karte hai to is gadi ke jitna space aapko or kisi gadi mai nahi milta.
Ab Chalane ki bat karte hai to car ka initial picup kafi acha hai. or city me drive karna kafi aasan bhi hai. Sterring bhi mature feel hota hai. but bat vahi aajati hai aapko feedback bhi utna hi milta hai jitna aapne pay kiya hai. Samjh hi gaye honge.
Highway pe iska engine mujhe underpower laga jab aap already 7-80kmph kar rahe hote hai. And aapko overtake krna ho to aapko downshift karna padega and sath hi red line ho jata hai engine phir bhi aapko lagta hai ki vo pull nahi mil raha hai. Ha agar aapke sath gadi me 1-2 log hi hai to ye situation thodi improve ho jati hai.
But ye hai ki aapka kam is price me is gaadi se acha or koi kar bhi nahi sakta hai. Or ab jo log city mai bahut jyada use karte hai ya unhe AMT ki requirment hai unke liye AMT aa hi raha hai to aap vo bhi le sakte hai.
Renault Triber Pros And Cons –
Pros –
Sabse pahle to ye aapko jis price me mil rahi hai yahi bahut bada pros hai. Next iski cabin me aapko kafi airy -airy feel hota hai jisse aap isme long journy bhi karenge to aapko problem nahi hogi. And isme kai sara saman aaram se aajata hia. Sath hi iski maintenance bhi low hai.
Cons –
Triber me Engine thoda underpower hai jo ki ek 7 seater car ke liye achi bat nahi hai. isme sabhi log bethe hai or kuch saman bhi hai itna sab kuch hone ke bad sirf 72bhp ki power se vo feel nahi aati hai but Renault isme Turbo petrol engine le kar bahut jald aane wala hai jisme almost 99bhp ke aas pass ki power expect ki ja rahi hai and vo engine agar aa gaya to bat ban jayegi.
So guys ye thi sabhi details Renault Triber AMT ke bare me i hope useful rahi hogi aapke liye. And kuch puchna hai to niche comment kar sakte hai. Sath hi Instagram Pe connect ho jaye regular updtes ke liye.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare. Instagram