Renault Triber with Turbo Petrol Engine to Launch in 2022 – Renault Triber, Renault ki one of the most selling vehicles me se ek hai. Triber ko Indian market me 2019 me launch kiya gaya tha aur iss 7-seater MPV ne kafi accha perform kiya hai. 2020 AutoExpo me Renault ne more powerful Triber ko showcase kiya gaya tha jisme 1.0-litre turbo-petrol engine use kiya gaya tha. Hume ye speculate kiya tha ki Renault Triber ke turbo-petrol variant ko 2021 me launch kiya jaayega but company official ne kaha hai ki more powerful Triber ko 2022 ke liye push kar diya hai.
Renault Triber with Turbo Petrol Engine to Launch in 2022-
Renault Triber Turbo Petrol Engine Variant Details-
AutoExpo 2020 me showcase kiye jaane ke baad hume laga tha ki Renault iss engine first showcase karega in Triber. However, Renault ke sister-brand Nissan ne iss engine ka debut kiya on Magnite. Renault ne bhi, iss 100 PS turbo-petrol unit ko apne newly launched Kiger me introduce kiya. Renault Kiger me currently 1.0-litre, 3-cylinder, naturally aspired petrol engine ko use kiya jaata hai jo 72 PS power and 96 Nm torque produce kiya jaata hai. Turbo-petrol engine ke introduction ke saath Triber 100 PS power and 160 Nm torque produce kar sakti hai. Reports ye bhi kehti hai ki Triber ko minor facelift ke saath launch kiya jaa sakta hai jo iss car ke design minor changes karega.
Renault Triber Details-
Renault Triber ek 7-seater MPV hai jisse Indian market me 2019 me launch kiya gaya tha. Iss car me hume front chrome grille, projector headlamps, LED DRLs, roof rails, faux skid plates, LED instrument cluster, dual tone dashboard, rear view camera, 20.32 cm touchscreen infotainment system with Apple CarPlay and Android Auto, push button star/stop etc. jaise features offer hote hai. Iss car me four varaints available hai – RXE, RXL, RXT, and RXZ. Triber ki pricing Rs 5.20 lakhs to 7.50 lakhs (ex-showroom) hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.