Renault Zoe EV Spied in India

Renault Zoe EV Spied in India – Renault Zoe EV ko Renault ne 2020 AutoExpo me showcase kiya tha. Ye EV, European market me best-selling EV model hai aur Renault ne January – November 2020 ke bech Zoe EV ke 84,000 units sell kar diye hai.

Renault Zoe EV Spied in India-

Renault Zoe EV India

Image Credit- Rushlane

Renault Zoe EV-

3rd generation Renault Zoe EV ko international market me 2019 me launch kiya gaya tha. Ye car France, Germany, Italy, Spain, and Portugal me most selling EV hai. Indian market me, recent times me EV ki demand badh chuki hai. Government bhi EV ke popularise karne ke liye substantial subsidy bhi offer kar raha hai. Kai saare manufacturers apne product line-up me battery operated vehicles ko add kar rahe hai. Recently hume Renault Zoe EV ke older generation model ko India me spot kiya. Design ki baat kare to iss car me hume curved roof lines, roof mounted spoilers, LED head and tail lamps, aur sporty alloy wheels dekhne mil jaate hai.  International variant ke interior me hume digital instrument cluster, 9.2 inch touchscreen infotainment system, reverse parking  camera jaise features bhi dekhne mil jaate hai.

Renault Zoe EV

Renault Zoe EV Engine-

Iss car ke international variant me hume 2 engine option dekhne mil jata hai. Pehla R135 engine jisme 100 kW ka electric motor mil jata hai jo 135 HP aur 245 Nm torque produce karta hai. Dursa, R110 engine jisme 80kW electric motor hai, jo 108 HP aur 225 Nm torque produce karta hai. Iss car ki range 390 kms hai.

Renault Zoe EV Front

Renault Zoe EV ke regarding koi bhi official announcement available nahi hai. Hum expect karete hai ki end of 2021 me hume iss car ko Indian roads pe dekh sakte hai.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram