Royal Enfield Hunter 350 Motorcycle Spied on Test in India – Royal Enfield ne recently apne Meteor 350 motorcycle ko launch kiya. Meteor 350 ne launch ke saath hi kafi popularity gain kiya aur iss bike ke sales number bhi kafi acche hai. Royal Enfield ne announce kiya hai ke woh every quarter me ek new product ko launch karega. Royal Enfield ke pipeline me new-gen Classic 350, Interceptor 350 jaise motorcycles lined-up hai. Recently, humne upcoming Royal Enfield Hunter ke prototype ko spot kiya.
Royal Enfield Hunter 350 Motorcycle Spied on Test in India-
Royal Enfield Hunter 350 Details-
Royal Enfield Hunter, brand ki entry level motorycle ho sakti hai. Ye motorcycle, Royal Enfield ki new J1C platform par based hogi. Iss prototype motorcycle ko heavy camouflage se cover kiya gaya tha jisse hume iss motorcycle se related limited information available hai. Royal Enfield Hunter me hume round headlamp, teardrop tank, long seat, and single pod instrument cluster dekhne mil sakta hai. Iss bike pe 5 spoke alloy wheels, LED tail lamp and halogen turn indicators bhi dekhne milta hai.
Iss bike pe hume Tripper Navigation Console nahi dekhne mila hai. Ho sakta hai ki Royal Enfield tripper navigation ko production model me add kare.
Royal Enfield Hunter 350 Engine-
Royal Enfield Hunter 350 me hume same engine setup dekhne mil sakta hai jo humne Meteor 350 me dekha tha. Iss bike pe hume BS6 compliant, 349cc, single-cylinder engine dekhne mil sakta hai jo 20.2 HP and 27 Nm torque produce karta ho. Iss engine ko 5 speed gearbox ke saath combine kiya jaayega.
Royal Enfield Hunter 350 ka debit hum mid 2021 me expect kar sakte hai. Ye bike around Rs 1.50 lakh ke pricetag ke saath launch ho sakti hai.
Image Source – Motorbeam
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.