Royal Enfield Meteor 350 vs Honda H’ness CB 350

Royal Enfield Meteor 350 vs Honda H’ness CB 350 – Royal Enfield Indian market me apne Classic and Bullet motorcycle ke liye kafi famous hai. Royal Enfield ne recent times me Interceptor and Continental GT motorcycles ko launch kiya jisse hume Royal Enfield ke modern design and improved quality dekhne mila. Royal Enfield ne November 2020 me Meteor 350 ko launch kiya jo Royal Enfield ke liye ek alag benchmark set karega.

Honda 2 Wheelers ne Indian market ko Activa and Communter motorcycle se dominate kiya tha. Honda ne Asian and other market me regularly apne premium motorcycles ko launch kar raha tha par kabhi Indian market me interest nahi dikhaya. September 2020 me Honda ne H’ness CB 350 motorcycle ko launch jisne kafi buyers ko attract kiya.

Royal Enfield Meteor 350 vs Honda H’ness CB 350-

Dimension-

Royal Enfield Meteor 350 ke dimensions 2140mm x 845mm x 1140mm hai. Iss bike ki ground clearance 170mm hai, wheelbase 1400mm hai and seat height 765mm hai. Meteor 350 ko Royal Enfield ke new twin downtube spine frame par build kiya gaya .

Honda H’ness CB 350 ke dimesions 2163mm x 800mm x 1107mm hai. Iss bike pe hume 166mm ka ground clearance, 1441mm ka wheelbase and 800mm ka seat height dekhne milta hai. H’ness CB 350 me hume half duplex cradle frame dekhne milta hai.

Royal Enfiled Meteor 350 Images

Design-

Royal Enfiled Meteor 350 ek cruiser styled motorcycle hai. Ye bike Thunderbird 350X ki successor motorcycle jisse ek new look diya gaya hai. Iss bike pe hume circular headlamp with integrated LED DRL, LED tail light, new instrument cluster and switch gear, new alloy wheels and flat handlebar dekhne milta hai.

Honda H’ness CB 350 hume typical 80’s styling dekhne milta hai with modern elements. Iss bike par hume all-LED headlamp, all-time illuminated turn indicators, halogen tail lamp, semi-digital instrument console and chrome elements dekhne milte hai.

Engine-

Royal Enfield Meteor 350 me hume all-new 349cc, BS6 compliant, single-cylinder engine dekhne milta hai jo 20.2 HP and 27 Nm torque produce karta hai. Iss engine ko 5 speed gearbox milta hai.

Honda H’ness CB 350 me hume 348cc, BS6 compliant, single-cylinder engine milta hai jo 20.7 HP and 27 Nm torque produce karta hai. Iss engine ko 5 speed gearbox milta hai.

Features-

Royal Enfield Meteor 350 me hume 41mm telescopic front forks and rear twin tube shock absorber milta hai. Iss bike pe hume 15-litres ka fuel tank bhi milta hai. Meteor 350 me hume semi-digital instrument console milta hai along with Tripper Navigation system. Tripper Navigation ko smartphones ke saath connect kiya jaa sakta hai jo hume navigation provide karte hai. Iss bike pe hume USB charging port, tall windscreen and split seat design bhi dekhne milta hai.

Honda H’ness CB 350 me hume telescopic front suspension and twin hydraulic shock absorber at rear dekhne milta hai. Iss bike pe 15-litres ka fuel tank hai. H’ness CB 350 ke DLX Pro model me hume Honda Smartphone Voice Control system milta hai jo smartphone connectivity ke through navigation me help karta hai. Iss bike pe hume USB charging port and single-piece seat bhi offer kiya jaata hai.

Honda H'ness CB 350 Images

Safety-

Royal Enfield Meteor 350 me hume 300mm front and 270mm rear disc offer kiye jaate hai. Iss bike pe dual channel ABS standard hai. Iss bike pe hume 100/90/19 ke front and 14/70/19 ke rear tyres offer kiye jaate hai.

Honda H’ness CB 350 me hume 310mm front and 240mm rear disc offer kiye jaate hai. Iss bike pe dual channel ABS standard hai. H’ness CB 350 me hume 100/90/17 ke front and 130/70/18 ke rear tyres offer kiye jaate hai.

Price-

Royal Enfield Meteor 350 ko three variants me offer kiya jaata hai – Fireball, Stellar and Supernova. Inn varaints ki price Rs 1.75 lakhs, Rs 1.81 lakhs and Rs 1.90 lakhs (ex-showroom) hai.

Honda H’ness CB 350 ko two variants me offer kiya jaata hai –DLX and DLX Pro. Iss bike ki price Rs 1.86 lakhs – Rs 1.92 lakhs (ex-showroom) hai.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram