Royal Enfield Meteor 350cc Full Review – Bike ko 800kms chalane ke bad aapse bike ke bare me almost sab-kuch share karne ja rahe hai. Jisse ki aapko Royal Enfield Meteor 350cc ke bare me sab kuch pata chal jaye. And aap ye detailed review padhne ke bad decide kar paye ki kya aapko bike lena chahiye ya nahi.
To kya is review me aapko specifications, Dimensions and tyre size padni hai. Obviously NAHI. Because ye sab to aapko YouTube Review me dikha hi chuke hai. Or agar nahi dekha hai to ending me aapko video mil jayegi aap dekh sakte hai.
Royal Enfield Meteor 350cc Full Review –
Meteor 350 First Ride Impression – Crank karte hai engine ko bike ideal kar rahi hoti hai jab aapko realise hota hai ki ye hai NEW Royal Enfield ki bike mean isme kuch naya kiya gaya hai. Sound se pata lagta hai bike chalu hai. Vibrations se nahi.
First gear dalte hi aap aage badne lagte ho or aapko kafi badiya thump ke sath torque milta hai. jo ek smile aapke face pe le aata hai.
Meteor 350 Comfort? Seat ki bat kare to rider ki liye seat kafi comfortable hai chahe aap non-stop 100km chalao koi issue nahi hai. Or rear seat ki width thodi kam hai but aap normal city rides ke liye use use kar sakte ho. Foot pegs front set hai to aapko comfort acha rahta hai. Or handle bar ki position bhi aesi rakhi gai hai jisse ki rider straight bethta hai to comfort long time tak bana rahta hai.
Bike ki seat hight 765mm hai jisse ki male female dono hi isse aasani se chala sakte hai. Or phir bhi aapko lagta hai ki seat aapke liye jyada uppar hai to aapko lower seat hight ke liye seat package le sakte hai. Jisse seat height or kam ho jayegi. Vahi dusri jagah agar 6’1 se jyada height ka rider chala raha hai to piche space bhot kam bachti hai.
Royal Enfield Meteor 350cc Full Review (Mileage) – Bike ka mileage use chalae pe depend karta hai ki aap use kese use kar rahe hai. Bike ko kese aapke maintain kiya hua hai. First 2 service hui hai ya nahi. Sath hi humne iska extreme milage test kiya hai. Apne tarike se jo ki aap niche dekh sakte hai video me.
Meteor 350 Performance – Is bike ko chalane ka maja hai mid range me. Isme jo power and torque milta hai kamal ka hai. Stock exhaust hi kafi bassy feel hota hai. Bike me low and torque bhi kafi badiya hai. But jab aap top-end tak pahuchte hai. Bike me power or torque khatm ho chuka hota hai.
Agar aap meteor lete hai or city ride karte hai to aapko kafi maja aane wala hai. Or agar aap long rides ya touring karne ka soch rahe hai to aap is bike se 80-100kmph ki speed pe aaram se pure din cruise kar sakte hai.
Meteor 350 Breaks – Royal Enfield ki ye new bike aapko kafi badiya breaking performance offer karti hai agar aap purani kisi RE ko use kar chuke hai to aapko ye difference first time me hi pata chal jayega. Even aap normal stop and go conditions me rear break se hi kam chala sakte hai. Or agar situation aesi hai ki aapko turant hi bike rokna hai to aap dono break ko use karenge.
Meteor 350 suspension – Front me aapko telescopic suspension milte hai jo ki balanced tuning ke sath aate hai. Vahi rear me twin shock absorber thode stiff feel hote hai. But inhe aap adjust kar sakte hai. Aape comfort ke according. To aapka kam ache se ban jayega or aapko koi pareshani nahi aayegi.
Even though bike ko corners pe lean karne me bhi bilkul dar nahi lagta itna confidence stock setting se hi mil jata hai.
Meteor 350 Features – Instrument cluster me aapko speedometer, Time, 2 Trips, Fuel Gauge, Navigation system, jese features mil jate hai. But rpm meter nahi milta hai. Or Fuel gauge bhi accurate information nahi deta hai. So aap uspe trust karke bike ko nahi chala sakte.
Meteor 350 ergonomics – Handle bar pe jo pass switch diya hai usse use-to hona thoda difficult hai. Or same type ka switch self start engine kill ke liye bhi diya gaya hai. Better company ko trip ka switch ki jagah pass switch or pass switch ki jagah trip ka switch diya jana chahiye.
Navigation system – Bahut hi jyada usefull hai ye aap bike ko apne phone se connect karke kahi bhi ja sakte hai. But issue vaha aajata hai ki aapke phone me net band ho jaye or ye aapko koi indication nahi deta uska. To aap ispe 80% depend rahiye kahi bhar ja rahe hai to.
Or baki kisi se puch kar hi aage badte rahe. And mene apnne helmet ko bhi connect kiya hua tha apne phone se to usme bhi aapko sound aata hai turn ke pahle. Jo ki kafi usefull hota hai.
Meteor 350 Headlamp – Bike me halogen headlamp di gai hai LED drl ke sath jo ki rat me aapko kafi badiya illumination provide karti hai. Or aap iske sath 60-70kmph ki speed pe aaram se cruise kar sakte hai highway par bhi. But jab aap high-beam on karte hai tab low beam band ho jati hai ye iska cons hai.
Kai bar aapko kharab raste ya uneven roads pe dono beam ki requirement hoti hai.Tab ye kami aapko feel hoti hai. Otherwise normal use ke liye light sufficient hai.
Meteor 350 Heating issue – Bike ko air-cooling technology di gai hai or ye kafi ache se kam bhi karti hai. Sath hi andar oil circulation bhi hota hai or dono se bike ka heat management kafi acha ho jata hai. But jab aap bumper to bumper traffic me ise chalayenge tab aapko apne legs pe heat mahsoos hoti hai. Baki highways pe aapko koi pareshani nahi aayegi.
Meteor 350 Vibrations – Twin down tube chassis hai. Or all new engine jo ki sohc unit hai. Counter balancer, Fuel injected unit hone se ye engine kafi smooth hai. Or aapko vibrations bhot kam milte hai or vo bhi jab aap bike ko 90 ki speed ke bad pull karna start karte hai tab. But ek Royal Enfield bike ke liye ye bhi bhott adi bat ho jati hai.
To ye tha Royal Enfield Meteor 350cc Full Review jo ki aapke liye definitely kafi helpfull raha hoga. And ab bhi aapko bike se related kuch bhi doubt hoto aap hume Instagram pe massage kar sakte hai. Ya Facebook pe bhi connect ho sakte hai.
Sath hi last me ek or bat clear karna chahta hu ki bike 3 variants me available hai or difference aap video me dekh sakte hai jis bike ka humne review share kiya hai ye Fireball variant hai jo ki basic model hai. Iske upper 2 or model aate hai. Or price sabhi states me alag-alag hoti hai due to taxes isliye yaha mene mention nahi ki hai aap apne nearest dealership se le sakte hai. On road price ki details.
A word from the team: so guys recent rise in covid cases ki wajah se India mein medical aid mein shortage experience ki jaari hain, and people in need toh kaafi suffer kar rahe hain. So we urge you all to take all the necessary precautionary measures jaise masks pehene, use of sanitizers and ho sake toh ghar ke bahr na nikle jitna ho sake and yes guys apne aas paas hygiene maintain kare. Also bina apni safety compromise kiye needy logo ki help zaroor se kare.
IndianTorque hain one of its kind and India’s first HINGLISH automotive website jaha pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti hain, yaha pe aapko unbiased review, comparison bhi milenge jis se aapko apne liye perfect vehicle choose karne me aasani ho. So guys notification on kar lijiye IndianTorque.com so that koi bhi important news aap miss na kare.