Skoda Kushaq Globally Revealed – Design, Specs and Other Details Announced – Skoda Kushaq, Skoa Auto ki latest compact SUV vehicle hai jisse specifically Indian markets ke liye built kiya gaya hai. Skoda Kushaq ke concept model – Vision IN ko AutoExpo 2020 me showcase kiya gaya tha jissne kafi attention gain kiya. Skoda ne Kushaq ko India 2.0 project ke under built kiya hai aur isse heavily localized MQB-AO-IN platform par built kiya gaya hai. Previously, Skoda ne Kushaq ke prototype vehicle ka details reval kiya along with engine details. Skoda ne aaj Kushaq SUV ko globally unveil kar diya hai.
Skoda Kushaq Globally Revealed – Design, Specs and Other Details Announced-
Skoda Kushaq Design Details-
Skoda Kushaq ko front se bold and muscular design milta hai. Iss car me signature Skoda butterfly grille, dual headlamps, front fog lamps, faux front bumper, roof spoiler, roof rails, wrap around LED tail lamps, etc. jaise elements dekhne milte hai jo iss car ko tall-stance SUV look dete hai.
Skoda Kushaq ki dimensions 4225mm x 1760mm x 1612mm hai. Iss car ki wheelbase 2651mm hai and ground clearance 188mm hai. Kushaq ke top-end variant me hume 17 inch diamond cut alloy wheels bhi mil jaata hai, while lower variants me either 16 inch steel or 16 inch alloy wheels offer kiye jaate hai.
Interior ki baat kare toh ye car feature loaded hai. Kushaq me hume clutter free dashboard design milta hai jo iss car ko premium touch dete hai. Iss car me 10-inch touchscreen infotainment system offer hota hai jo wireless Apple CarPlay and Android Auto ko support karta hai. Iske alawa hume Kushaq me two-spoke steering wheel with mounted audio/phone controls, ventilated front seats, wireless charging, multiple storage areas etc. jaise features offer hote hai. Iss car me Skoda Virtual cockpit bhi offer kiya jaata hai jo driving and navigation information provide karta hai.
Skoda Kushaq Enigne-
Skoda Kushaq me hume two engine options milte hai – 1.0-litre TSI turbo petrol engine jo 110 PS power and 175 Nm torque produce karta hai. Iss engine me 6 speed manual and 6 speed automatic torque convertor gearbox ka option mil jaata hai. Iske alawa iss car me hume 1.5-litre TSI turbo petrol engine ka option bhi mil jaata hai jo 150 PS power and 250 Nm torque produce karta hai. Iss engine ko 6 speed manual and 7 speed DSG gearbox ke saath offer kiya jaata hai.
Skoda iss car me five colour options offer karega – Candy White, Brilliant Silver, Carbon Steel, Honey Orange, Tornedo Red. Iss car ki pricing around Rs 10-16 lakhs (ex-showroom) ho sakti hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.