Skoda Kushaq Prototype Revealed

Skoda Kushaq Prototype Revealed – Skoda Kushaq compact SUV ko 2020 AutoExpo me showcase kiya gaya tha. Ye car, Skoda ki India 2.0 project ki pehli offering hogi. Iss car ko initially Vision IN ka name diya gaya tha aur kuch hi dino pehle, Skoda ne iss car ke production model ka name Kushaq announce kiya. Skoda Kushaq ko hume kai baar Indian roads par test karte hue spot kiya. Skoda ne Kushaq ke prototype model ko officially reveal kiya uske saath iss car se related kuch information bhi share kiya.

Skoda Kushaq Prototype Revealed-

Skoda Kushaq Prototype Images

Skoda Kushaq Prototype Details-

Skoda Kuhsaq ke prototype ko heavy camouflage se cover kiya gaya jisse hume iss car ke exterior and interior ke baare me limited details available hai. Skoda Kushaq me hume large front butterfly grille dekhne milega along with sleek LED headlights with LED DRLs. Iss car me hume sporty black alloy wheels, roof rails and LED tail lamp bhi dekhne mila.

Iss car ke interior ke baare me koi bhi infotmation available nahi hai. Iss car ki wheelbase 2651mm hai. Iss car me hume automatic climate control, cruise control, rain sensing wipers, auto headlamp, etc. jaise features dekhne mil sakte hai. Safety features me hume iss car me 6 airbags, ESC, Hill-hold control, tyre pressure monitoring system jaise features mil sakte hai.

Skoda Kushaq Prototype Front Images

Skoda Kushaq Enigne-

Skoda Kushaq me hume two engine options milte hai – 1.0-litre TSI turbo petrol engine jo 110 PS power and 175 Nm torque produce karta hai. Iss car me hume 1.5-litre TSI turbo petrol engine ka option bhi mil jaata hai jo 150 PS power and 250 Nm torque produce karta hai. Iss car me hume 6 speed manual, 6 speed torque convertor and 7 speed DSG gearbox ka option mil sakta hai.

Skoda Kushaq ko MQB-AO-IN platform pe build kiya jaa raha hai jo heavily localised hai with upto 95 percent localisation. Iss car ko domestic sales as well as export market ke liye manufacture kiya jaa raha hai. Skoda Kushaq ko attractive pricing pe launch kiya jaayega aur ye car compete karegi with Hyundai Creta, Kia Seltos and Nissan Kicks.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram