Skoda Kushaq Top 5 Features – Czech carmaker Skoda Auto, apni new subcompact crossover SUV Kushaq ko mid-2021 me launch karegi, aur iss car ka world premiere March me hoga. Skoda ne Vision IN SUV ko as a concept model showcase kiya tha in AutoExpo 2020 and Kushaq iss concept model ka production version hai. Skoda Kushaq ko heavily localized MQB-AO-IN platform par build kiya jaane wala hai.
Skoda Kushaq Top 5 Features-
Two Engine Options –
Skoda offer karegi do TSI-petrol engine options, ek hoga skoda Rapid se liya hua 1.0L 3-cylinder engine jo 110hp ki power generate karega aur doosra option 1.5L 4-cylinder engine jo 150hp ki power generate karega yeh engine Skoda Karoq se liya jayega.
Three Transmission Options –
Transmission ki jaha tak baat aati hain toh dono engine options mei aapko 6-speed manual transmission ka option available rahega, issi ke saath aapko automatic transmission mei 1.0L engine mei 6-speed torque-converter aur 1.5L engine mei 7-speed DSG automatic transmission offer karegi Skoda.
Safety Features:
Skoda ne announce kiya hain ki Kushaq ke har variant me kuch standard safety features milenge jaise, ESC ( 1st in segment ), Six airbags, Hill hold control, ISOFIX mounts, rain/light sensors aur lastly tyre monitoring system.
Utility Features:
Baaki saare aaj kal ke in-trend features jaise panoramic sunroof, digital instrument cluster, auto climate control etc. aapko dekhne mil jayenge Skoda Kushaq ke andar.
Price:
Skoda Kushaq ki price range expected hain around Rs.9.00 lakh onwards ex-showroom Delhi. Jo ki badhte hue jayegi kareeb Rs.15.00 lakh ex-showroom Delhi.
Skoda Kushaq ke competitors rahenge Hyundai Creta, Kia Seltos, and Nissan Kicks.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.