Skoda Rapid Rider Variant Discontinued in India

Skoda Rapid Rider Variant Discontinued in India – Skoda ne April 2020 me Skoda Rapid ko BS6 engine ka update diya tha. Skoda ne Rapid ke base variant Rider ko INR 7.49 lakh ke price pe launch kiya tha. Iss gaadi ko kafi zyda bookings mili thi. December 2020 me Skoda Auto ne ye decision liya ki who Skoda Rapid ke base variant Rider ko Indian market me discontinue kar denge.

Skoda Rapid Rider Variant Discontinued in India-

Skoda Rapid Rider Variant Details –

Skoda Rapid Rider variant kafi popular aur value for money variant thi. Iss car ko kafi accha response mila tha. Iss car ko INR 7.49 lakh ka price diya tha, jo iss car ko most affordable sedan in Indian market with turbocharged petrol engine banati thi. Iss variant ki demand itna zyada ho gayi thi ki Skoda ko iss variant ke bookings temporarily close karne pade. Iss variant ki overwhelming response dekh kar, Skoda ne Rider Plus variant launch jisse Rider variant ke just above position kiya. Rider Plus variant me automatic transmission aur 6.5 inch ka touchscreen infotainment system dekhne milta hai. Skoda Rapid Rider Plus ki pricing INR 7.99 lakhs hai.

Skoda Rapid Rider Variant

 

Skoda Rapid Ride Variant Features –

Skoda Rapid Rider variant me hume 2-DIN audio system, Bluetooth connectivity for calling function, automatic climate control, remote locking, power windows, adjustable steering wheels, front and rear charging sockets, electronic adjustable OVRMS, dual front Airbags, ABS aur rear parking sensors jaise features dekhne mil jaate the. Ye sab features, powerful turbo petrol engine aur itni aggressive pricing ke saath, Skoda Rapid Rider variant value for money car thi.

Skoda Rapid Front

 

Skoda Rapid Engine –

Skoda Rapid me hume BS6 compliant 1.0-litre, three cylinder, TSI turbo petrol engine dekhne milta hai jo 109 HP aur 175 Nm torque produce karta hai. Iss car me hume either 6 speed maual or 6 speed automatic gearbox ka option mil jata hai.

Skoda Rapid Images

Hum expect karte hai ki Skoda ki upcoming next-gen Rapid ko bhi Skoda isi tarah aggressive pricing aur loads of features ke saath launch kare.

Skoda Rapid Rider variant ke discontinue ho jane se Skoda Rapid Rider Plus iss car ki base variant hai aur iss car ki pricing ab INR 7.99 lakhs se INR 13.29 lakhs (ex-showroom) hai. Ye car Indian market me Hyundai Verna, Maruti Ciaz, Honda City aur Volkswagen Vento se compete karti hai.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram