Skoda Slavia Deliveries to Commence in March 2022

Skoda Slavia, Skoda ki latest sedan offering hai jisse November 2021 me unveil kiya gaya tha. Skoda ne iss car most of the details reveal kar diye but iss car ke official launch date confirm nahi kiya. Speculations se pata chalta hai ki iss car ko February 2022 me launch kiya jaa sakta hai. Skoda India ke Director ne confirm kiya ki iss car ke deliveries March 2022 se commence honge.

Skoda Slavia Deliveries to Commence in March 2022

Skoda Slavia Deliveries Confirmation

Skoda Slavia Details

Skoda Slavia, Skoda auto ke line-up me Rapid ko replace karti hai jiske production ko Indian markets ke liye discontinue kar diya gaya hai. Slavia ko heavily localised MQB-AO-IN platform par build kiya gaya hai jispe Kushaq compact SUV ko bhu built kiya gaya hai. Slavia, Skoda Auto ke India 2.0 strategy ke second product hai jisse heavily localization ke saath manufacture kiya jaa raha hai.

Skoda Slavia me all signature Skoda elements offer hote hai jaise sharp design, typical Skoda front grille, upright body stance etc. Iss car ke dimension 4541mm x 1752mm x 1487mm hai. Iss car ka wheelbase 2651mm hai. Iss car me front LED headlamps with LED DRLs, front fog lamps, 16 inch dual tonne alloy wheels, etc. jaise elements offer hote hai.

Skoda Slavia ke interior me bhi kai saare features offer hote hai jaise 25.4cm touchscreen infotainment system, 20.32cm digital cockpit, front ventilated seats, two spoke steering wheel with mounted controls, etc. Iss car me kai saare storage and utility spaces bhi offer kiye gaye hai. Iss car ka boot space around 521-litres hai.

Skoda Auto India Multiplies Customer Touchpoints in Southern India

Skoda Slavia Engine

Skoda Slavia me same engine offer kiya jaane wala jo Kushaq me bhi offer hota hai. Iss car me 1.0-litre TSI 3-cylinder petrol engine offer hota hai jo 113 HP and 178 Nm torque produce karta hai. Iss engine me 6 speed manual transmission and 6 speed automatic torque convertor ka transmission option milta hai. Iske alawa Skoda Slavia me 1.5-litre TSI, four-cylinder petrol engine bhi offer kiya jaane wala hai jo 147 HP power and 250 Nm torque produce karta hai. Iss engine me 6 speed manual and 7 speed DSG gearbox ka option milta hai.

Skoda Slavia ko 3 variants me offer kiya jaayega Active, Ambition and Style. Iss car me 5 colour options bhi offer kiye jaayenge. Launch hone par Slavia compete karegi with Maruti Suzuki Ciaz, Honda City, Hyundai Verna, and Volkswagen Vento se.

Skoda Slavia Engine

 


IndianTorque hain one of its kind and India’s first HINGLISH automotive website jaha pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti hain, yaha pe aapko unbiased review, comparison bhi milenge jis se aapko apne liye perfect vehicle choose karne me aasani ho. So guys notification on kar lijiye IndianTorque.com so that koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram