Skoda Slavia – Top 5 Features

Skoda Auto ne recently apne new C-Segment sedan Skoda Slavia ka global debut kiya. Skoda Slavia, Skoda ki India 2.0 strategy ki second offering hai jisse MQB-AO-IN platform par build kiya gaya hai jispe Skoda Kushaq bhi based hai. Skoda Slavia, Indian market me Skoda ki entry-level sedan, Rapid ko replace karegi.

Skoda Slavia – Top 5 Features

  1. Powerful Engine

Skoda Slavia me two engine options offer hote hai : 1.0-litre, 3-cylinder, TSI petrol engine jo 115 PS power and 175 Nm torque produce karta hai and 1.5-litre, 4-cylinder, TSI petrol engine 150 PS power and 250 Nm torque produce karta hai. Rivals ke comparison me Slavia me most powerful engine options offer hote hai.

Skoda Slavia Engine

  1. Large Boot Space

Skoda Slavia me approx. 521 L ka boot space offer hota hai jo one of the largest hai in its segment. Additionally Slavia me 60-40 folding rear seats bhi offer hote hai jo iss 521 L ke bootspace ko aur expland kar sakte hai.

Skoda Slavia Bootspace

  1. Gearbox

Skoda Slavia ke dono engine me 6 Speed Manual Transmission offer hota hai. 1.0 – litre TSI engine ke saath 6 Speed Automatic Torque Converter offer hota hai while 1.5 – litre TSI engine variant ke saath 7 Speed DSG gearbox offer hota hai.

  1. Build Quality and Interior

Skoda ne hamesha se apne cars ke build quality ko one step ahead of competitors rakha hai and Slavia me bhi hume same dikhta hai. Iss car me hume kai saare typical Skoda elements dikhne milte hai. Slavia ke dashboard me bhi premium look milta hai with touchscreen infotainment system and Skoda ki virtual cockpit.

Skoda Slavia Dashboard

  1. Price

Skoda ne iss car ko bhi heavily localized MQB-AO-IN platform par build kiya hai jisse production cost kafi affordable hai. Although iss ko Q1 2022 me launch kiya jaayega iss car ki pricing Rs 11 – 20 Lakhs (ex-showroom) ho sakti hai.

 


IndianTorque hain one of its kind and India’s first HINGLISH automotive website jaha pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti hain, yaha pe aapko unbiased review, comparison bhi milenge jis se aapko apne liye perfect vehicle choose karne me aasani ho. So guys notification on kar lijiye IndianTorque.com so that koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram