Skoda Vision IN Compact SUV Launch Details – Skoda apni nayi compact SUV Vision IN ki launch ki tyarri kar raha hai aur yeh gaadi hume 2021 ke second quarter main dekhne mil sakta hai.
Skoda Vision IN Compact SUV Launch Details
Skoda Vision IN concept ko humne pehli baar 2020 Auto Expo main dekha tha. Skoda Vision IN based hai MQB-AO-IN platform pe jis par Volkswagen Taigun bhi based hai. Iss gaadi me hum ek sporty look dekhne milta hai. Saath hee hume chrome finished grille, muscular bonnet, aur all-LED lighting strip bhe dekhne mil sakta hai. Iss gaadi main roof rails aur, indicator mounted OVRM bhe hai.
Skoda Vision IN Dimension –
Ye gaadi ki length 4,256 mm aur wheelbase 2,671 mm. Iss gaad me 18 inch ke alloy wheels bhe dekhne mil sakta hai. Yeh car ek 5 seater compact SUV hogi.
Skoda Vision IN Interior –
Interirors ke zyada details avaible nahi hai par hum ye guess kar sakte hai ki isme ek 12.3 inch ka touchscreen infotainment system hogi jo Apple Carplay aur Android Auto support karti ho.
Skoda Vision IN Specifications –
Iss gaadi me ek 1.5 litre petrol TSI engine milta hai jo 150 HP aur 250 Nm torque produce karta hai. Ye engine , 7 speed DSG gearbox ke saath available hoga.
Skoda Vision IN Competition & Expected Price –
Ye car jab Indian market me launch hogi tab ye compete karegi Kia Seltos aur Hyundai Creta se. Iss car ke price around Rs 10 lakhs hogi.
Post By – Aditya Vaitheswaran
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.