Tata Altroz iTurbo Brochure Leaked

Tata Altroz iTurbo Brochure Leaked – Tata Altroz, Tata Motors ki premium hatchback vehicle hai jisse January 2020 me launch kiya  gaya tha. Tata Altroz ko Tata ki new AlfaArc platform pe build kiya gaya hai. Tata Altroz ko Global NCAP ke safety rating me 5 stars mile hai. Tata ne announce kiya ki woh Tata Altroz iTurbo variant ko 13th January 2021 ko launch karega.

Tata Altroz iTurbo Brochure Leaked-

Tata Altroz iTurbo Brochure

Tata Altroz iTurbo Details-

Tata Altroz iTurbo ko 13th January 2021 ko launch kiya jaane wala hai. Launch ke pehle hee iss car ki brochure leak ho chuki hai. Brochure me hume car ki pricing ke alawa baki saare details dekhne milte hai.

Tata Altroz iTurbo me hume 1.2-turbocharged petrol engine dekhne milta hai jo 110 PS power at 5500 RPM and 140 Nm torque at 1500-5500 RPM. Ye car 0-100 kmph 13 seconds me karti hai. Iss car me hume 5 speed manual transmission milta hai. Tata Altroz iTubro, regular variant se 28 per cent zyada power and 24 per cent more torque produce karta hai.

Tata Altroz iTurbo Brochure Engine Details

Tata Altroz iTurbo Features-

Tata Altroz iTurbo me hume new Xpress Cool feature milta hai jo cabin cooling ko optimise karta hai. Saath hi hume iss car me two driving modes milta hai – City and Sport. Iss car ko new XZ+ variant me offer kiya jaata hai aur iske exterior ko new Hatbour Blue colour me offer kiya jata hai.

Tata Altroz iTurbo me hume auto headlamp, rain sensing wipers, 6 inch touchscreen infotainment system, and intelligent real time assist (IRA) jaise features dekhne milte hai. Iss car me ABS, EBD, dual front airbags,  and antiglare IVRM jaise safety features bhi offer kiye jaate hai.

Tata Altroz iTurbo Brochure Colour Details

Tata Altroz iTurbo launch hone par compete karegi with Hyundia i20, Volkswagen Polo, Maruti Baleno and Toyota Glanza.

 

Image Source – Rushlane


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram