Tata Altroz iTurbo Unveiled in India – Tata Altroz, Tata Motors ki premium hatchback vehicle hai jisse January 2020 me launch kiya gaya tha. Tata Altroz ko Tata ki new AlfaArc platform pe build kiya gaya hai. Tata Altroz ko Global NCAP ke safety rating me 5 stars mile hai. Tata ne aaj iss car ko Indian market me unveil kar diya hai and jald hee launch hogi.
Tata Altroz iTurbo Unveiled in India-
Tata Altroz iTurbo Engine Details-
Tata Altroz iTurbo me hume 1.2-turbocharged petrol engine dekhne milta hai jo 110 PS power at 5500 RPM and 140 Nm torque at 1500-5500 RPM. Ye car 0-100 kmph 11.8 seconds me karti hai. Iss car me hume 5 speed manual transmission milta hai. Tata Altroz iTubro, regular variant se 28 per cent zyada power and 24 per cent more torque produce karta hai. Iss car ke claimed fuel economy 18.13 kmpl hai.
Tata Altroz iTurbo Specifications and Features-
Tata Altroz iTurbo hume three variant offer honge – XT, XZ and XZ+.Iss car me hume new XZ+ variant bhi dekhne milta hai. Tata Altroz iTurbo XZ+ variant me hume new black grey interior with leather seats offer honge. Iss new variant me two driving modes bhi offer kiye jayenge – City and Sport. Additionally, iss variant me hume height adjustable driver seat, rear-arm rest, rear power outlet, two more tweeters, Xpress Cool, cruise control and push-button star stop jaise features dekhne mil sakte hai.
Tata Altroz iTurbo variant me IRA technology feature bhi dekhne milega. Iske alawa hume voice assiant ka feature bhi dekhne milega with Hinglish language compatibility. Iss car ko total five colour options ke saath offer kiya jaygea including new Harbour Blue colour. Iske alawa iss car ko hum High Street Gold, Midtown Grey, Downtown Red and Avenue White colours ke saath dekh sakte hai.
Tata Altroz iTurbo ki booking 14th January 2021 se start hogi aur customers Rs 11,000 ka sum amount dekar apni car book kar sakte hai. Iss car ki pricing iss month ke end tak announce hogi.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.