Tata Altroz Turbo Petrol launch confirmed for January 2021 – Tata Motors ne apni premium hatchback car, Altroz ko January 2020 me launch kya tha. Iss car ne kafi customers ko attract kiya aur Indian market me iss car ki sales bhi kafi acchi hai. Abhi hume confirmation milti hai ki Tata Altroz Turbo Petrol variant ko Indian market me 13th January 2021 ko launch kiya jayega.
Tata Altroz Turbo Petrol launch confirmed for January 2021-
Tata Altroz Turbo Petrol-
Tata Altroz Turbo Petrol me hume 1.2-litre turbo petrol engine dekhne milega jo Tata Nexon se sourced hai. Ye engine 110 BHP aur 150 Nm torque produce karegi. Turbo petrol engine ke saath saath, hum iss engine me 7 Speed DCT gearbox bhi dekh sakte hai. Hum ye bhi expect karte hai ki ye DCT gearbox commonly used dry-clutch unit na hokar, wet based unit hoga. Tata DCT clutchbox ko sirf Altoz ke higher variant pe offer kar sakta hai. DCT gearbox ke saath Altroz turbo petrol ko hum 5 speed manual gearbox ke saath bhi dekh sakte hai. Iske alawa Tata Altroz me hum new colour option bhi dekhe milega.
Tata Altroz-
Tata Altroz based hai Tata ki ALFA architecture pe. Tata Altroz ko Global NCAP safety test me 5 starts ki rating milli jiise Altoz, India ki safest hatchback car ban jaati hai. Currently Tata Altoz, two engine options me available hai – 1.2-litre naturally aspired petrol engine and 1.5-litre turbocharged diesel engine. Petrol engine 85 BHP aur 113 Nm torque produce karta hai aur diesel engine, 90 BHP aur 200 Nm torque produce karta hai. Dono enige options ko 5 speed manual gearbox se saath combine kiya hai. Tata Altroz ki current pricing INR 5.44 lakhs se 9.09 lakhs (ex-showroom) hai. Turbo engine aur DCT gearbox ke addition ke baad hum iski pricing me changes expect kar sakte hai. Ye car compete karti hai Hyundai i20, Volkswagen Polo, Maruti Suzuki Baleno, Honda Jazz aur Toyota Glanza se.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.