Tata Gravitas Launch Delayed Till 2021

Tata Gravitas Launch Delayed Till 2021 – Tata Gravitas SUV jisse humne pehli baar AutoExpo 2020 main dekha tha usse company ne iss festive season ke time launch karne ka decide kiya tha. But iss pandemic ke chalte kafi manufacturer’s ne apne vehicles ka launch 2021 main push kar diya hai aur Tata motors ne bhe apni Tata Gravitas SUV ka launch early 2021 ke liye push kar diya.

Tata Gravitas Launch Delayed Till 2021

Tata Gravitas Launch

Tata Gravitas ek 7 seater SUV jo Harrier pe based hai. Tata Harrier ko 2019 main launch kiya gaya tha aur Tata ne Harrier ke saath ek decent market share capture kar liya hai. Dekhne main Tata Harrier aur Tata Gravitas kafi similar lagte hai.

Tata Gravitas, Harrier se 63mm longer and 80mm taller hai. Iss car ki length main increase ke wajah se 3 rd row seats easily accommodate ho jate hai. Saath he hume Gravitas me unique alloy wheels ke design dekhne mil sakta hai jo Harrier aur Gravitas ko differentiate karega.

Tata Gravitas Features & Specs – 

Tata Gravitas ka interior me bhi ek refreshed design dekhne milega jisme enhanced tech features aur additional safety features bhe mil sakta hai. Engine ki baat kare toh isme hume same engine dekhne ko milega jo humme Harrier main dekhne ko milta hai. Gravitas main 2.0 – litre Kryotec diesel engine hoga jo 170 PS and 350 Nm torque produce karta hai. Iss engine option main 6 Speed Manual aur 6 Speed Automatic Torque Converter gearbox bhi dekha jaa sakta hai.

Tata Gravitas Launch Delayed Till 2021

Tata Gravitas Rival and Expected Price –

Jab Tata Gravitas Indian market me launch hoga tab ye car directly compete karega, MG Hector Plus, next-gen Mahindra XUV 500 aur 7 seater Hyundia Creata se. Tata Gravitas 15 Lakhs ke price tag ke saath launch ho sakta hai.

Post By – Aditya Vaitheswaran


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram