Tata Gravitas Production Variant to be named as Tata Safari

Tata Gravitas Production Varaint to be named as Tata Safari – Tata Gravitas SUV, Harrier ka 7-seater variant hai. Gravitas ne 2020 AutoExpo me debut kiya tha aur iss car ke launch pandemic ke wajah se delay ho gaya. Kuch dino pehle hume information mili ki Tata Gravitas ka global unveil 26th January 2021 ko hone wala hai. Tata ne abhi iss car ke regarding ek badi statement di hai ki, Tata Gravitas ke production variant ko 2021 Tata Safari ke badge ke saath sell kiya jayega.

Tata Gravitas Production Varaint to be named as Tata Safari-

2021 Tata Safari Official Teaser

All-new 2021 Tata Safari-

Tata Safari, Tata ki iconic mid-size SUV hai jisse 1998 me pehli baar introduce kiya gaya. Tata Safari, Indian market me kafi popular vehicle rahi hai company ne isse 2019 me discontinue kiya. Tata Safari apne tough build, muscular looks aur powerful engine ke wajah se kafi popular tha. 2020 AutoExpo me hume Hexa-Safari concept dekhne mila tha, jisse humne next-gen Safari speculate kiya tha. Tata ne aaj apne social media handles me official teaser realase kiya aur ye confirmation diya ki Tata Harrier ke 7-seater variant ko iconic Tata Safari ka nameplate diya jayega. Tata Safari, Harrier se 63mm longer and 80mm taller hai. Iss car ki length main increase ke wajah se 3rd row seats easily accommodate ho jate hai. Saath he hume Safari me unique alloy wheels ke design dekhne mil sakta hai jo Harrier aur Gravitas ko differentiate karega. Tata Safari ka interior me bhe ek refreshed design dekhne milega jisme enhanced tech features aur additional safety features bhe mil sakta hai.

Tata Gravitas Side View

2021 Tata Safari Engine-

Engine ke baat kare toh isme hume same engine dekhne milega jo humme Harrier main dekhne milta hai. Safari mein 2.0 – litre Kryotec diesel engine hoga jo 170 HP and 350 Nm torque produce karta hai. Iss engine option main 6 Speed Manual aur 6 Speed AMT gearbox bhe dekha jaa sakta hai.

Tata Safari ko 26th January 2021 ko unveil kiya jayega. Iss car ki bookings bhi jald hee commence hogi. Ye car Indian market me MG Hector Plus, Next-gen Mahindra XUV 500 and Upcoming Hyundai Creta 7-seater ke saath compete karegi.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram