Auto in Hinglish

Tata Harrier Base XE Variant Details

Tata Harrier Base XE Variant Details – Tata Harrier, Tata ki 5 seater SUV vehicle hai jisse 2019 me launch kiya gaya tha. Iss car ko OMEGA Architecture par build kiya gaya hai jiss par Range Rover ko bhi build kiya jaata hai. Harrier me Tata ki Impact 2.0 desgin language use ki gayi hai jo iss car ko aggressive and sporty stance deti hai. Tata Harrier Indian market me total 9 variants me available hai –  XE, XM, XMA, XT, XT+, XZ, XZ+, XZA, XZA+. Aaj hum iss car ke vase XE variant ke bare me baat karenge.

Tata Harrier Base XE Variant Details-

Tata Harrier Images

Tata Harrier XE Variant Specifications –

Dimensions : 4598mm x 1894mm x 1706mm

Wheelbase : 2741 mm.

Boot Space : 425 Litres

Fuel Tank Capacity : 50 Litres

Tata Harrier kafi spacious vehicle hai jisme hume comfortable seats and spacious cabin milta hai. Iss car ki boot bhi kafi badi hai jisse hum zyada luggage carry kar sakte hai. Iss car me hume kafi accha ground clearance bhi milta hai.

Tata Harrier Front

Tata Harrier XE Variant Comfort Features-

Power Steering

Projector Headlamps

DRLs with Turn Indicators

3 USB Ports

Tata Harrier ke base variant me koi bhi tarah ka infotainment system nahi milta hai jo kafi disappointing hai. Iss car me hume manual ac ka option mil jaata hai.

Tata Harrier Side Profile

Tata Harrier XE Varaint Safety Features-

Dual Front Airbags

ESP

Hill Hold Control

Traction Control

Corner Stability Control

ABS with EBD

Rear Parking Sensor

Harrier ke XE variant me koi bhi major safety feature par compromise nahi kiya gaya hai. Iss variant me hume most of the safety features mil jaate hai. Tata iss variant me automatically adjustable OVRMs offer kar sakta tha jo aaj ke din ek important feature ban gaya hai.

Tata Harrier Rear

Tata Harrier Engine-

Tata Harrier me hume only Kryotec 2.0-litre turbo diesel engine dekhne milta hai jo BS6 compliant hai. Ye engine 170 PS power and 350 Nm torque produce karta hai. Iss engine me hume 6 speed automatic and manual transmission ka option mil jaata hai.

Tata Harrier XE Variant ki price Rs 13.99 lakhs (ex-showroom) hai.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram