Tata HBX with AMT Transmission Spotted

Tata HBX with AMT Transmission Spotted – Tata HBX Micro SUV ko 2020 AutoExpo me showcase kiya gaya tha. Iss car ko kai baar Indian roads par test karte hue spot kiya gaya hai. Tata ke liye 2021 kafi important year hai, as Tata ne kai saare launches plan kiye hai. Tata HBX Micro SUV ka launch bhi hum jald hee expect kar sakte hai.

Tata HBX with AMT Transmission Spotted-

Tata HBX Interior Images

Tata HBX AMT Transmission-

Earlier, humne report kiya tha ki Tata HBX me hume 5 speed manual gearbox dekhne milega. New spy images ke according hum clearly dekh sakte hai ki HBX ke production variant me AMT gearbox hai. Tata HBX me hume 1.2-litre naturally aspired petrol engine offer ho sakta hai jo 86 HP and 113 Nm torque produce karta hai. Ye engine Tiago and Tigor me bhi hum dekh sakte hai. Iss engine ko 5 speed manual and AMT gearbox ke saath offer kiya jaa sakta hai. Tata apne HBX micro SUV me 1.2-litre turbo petrol engine bhi offer kar sakta hai.

Tata HBX Micro SUV Front

Tata HBX Micro SUV Details-

Tata HBX, Tata ki smallest SUV hogi. Ye car ko ALFA platform par build kiya jayega jiss par Altroz ko bhi built kiya gaya hai. Hum expect kar sakte hai ki iss car ka interior kafi spacious hoga. HBX ke production variant me hum split LED DRLs with integrated turn indicators, projector headlamps, fog lamps and signature Tata grille dekh sakte hai. Tata ne kahan ki iss car ka production model, concept model se 90 percent tak similar hoga. Spy images se hum iss car ke interior bhi dekh sakte hai jahan hume flat bottom steering wheel, switchgear, HAVAC control, instrument cluster and touchscreen infotainment system dekhne milta hai jisse Altorz se borrow kiya gaya hai.

Tata HBX ko Nexon ke nice position kiya jayega. Iss car ki pricing around Rs 4.5 lakhs.

 

Source – IndianAutoBlogs


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram