Tata Nexon EV Bags 1st Place in Feb 21 Electric Vehicles Sales Chart – Electric vehicles, transportation ka future jo rapid pace se grow ho raha hai. India me ab bhi battery-operated vehicles ka infrastructure very limited hai and dheere dheere isse bhi expand kiya jaa raha hai. Meanwhile, car manufacturers ne apna focus EVs ke taraf shift kar diya hai aur iss segment ko target karne chahte hai. Indian market me hume kai saare electric two-wheelers dekhne mil jaate hai but electric four wheelers me zyada competition nahi hai. Tata ne January 2020 me Nexon EV ko launch kiya jo India ki most affordable EV hai. Tata Nexon ne recently India’s No.1 EV ka titile bhi achieve kiya Feb 21 ke sales chart ko top kiya.
Tata Nexon EV Bags 1st Place in Feb 21 Electric Vehicles Sales Chart-
Tata Nexon EV-
Tata Nexon EV ko launch hue over a year ho chukka hai and kafi customers ne iss EV me apna interest dikhaya hai. Feb 21 me Tata Nexon EV ke 427 units sell kiye gaye. Nexon EV ne slight 14.6 per cent ka MoM decline observe kiya hai jahan January 21 ke sales 500 units the.
MG ZS EV-
MG ZS EV ne bhi Indian market me kafi buyers ko attract kiya hai. Feb 21 me ZS EV ke 204 units sell kiye gaye. Jan 21 ZS EV ke only 124 units sold hue and iss car ne positive 64.5 per cent ka MoM growth achieve kiya hai.
Hyundai Kona Electric-
Hyundai Kona Electric, iss list me 3rd place par aata hai. Feb 21 me Kona Electric ke only 10 units sell hue jahan Jan 21 me Kona Electric ke 21 units sell hue. Hyundai ne MoM sales comparison me 52.4 per cent ka decline dekha hai.
Tata Tigor EV-
Tata Tigor EV, Tata ki another electric four wheeler hai jisse mainly tourist fleet me use kiya jaata hai. Feb 21 me Tigor EV ke 65 units sell hue jo massive 441 per cent more hai compared to Jan 21 jahan only 12 units sell hue.
Overall, electric four-wheelers ne Feb 21 me total of 706 units sell kiye hai and positive 7.5 per cent growth bhi achieve kiya hai. Over the time hum expect karte hai ki ye sales numbers increase ho and more manufacturers iss list me add up ho.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.