Tata Safari Launched in India at Rs 14.69 Lakhs

Tata Safari Launched in India at Rs 14.69 Lakhs – Tata Safari, 2021 ki one of the most anticipated launches me se ek hai. Tata Safari ka unveil January 2021 me hua tha aur iss car ki bookings ko 4th February se commence kiya gaya. Tata Motors ne aaj, Safari SUV ko Indian market me launch kar diya with introductory pricing of Rs 14.69 lakhs.

Tata Safari Launched in India at Rs 14.69 Lakhs-

tata safari price list

Tata Safari Exterior Details-

Tata Safari ko Tata ki OMEGA architecture pe built kiya gaya hai aur iss car me hume Impacat 2.0 ka design language bhi dekhne milta hai. Tata Safari ki length 4661mm and width 1786mm hai. Iss car ki wheelbase 2741mm hai jo same hai as seen on Harrier.

Tata Safari ka exterior design same hai as seen on Harrier. Safari me hume more chrome elements dekhne milte hai as compared to Harrier.Iss car me hume Xenon HID projector headlmaps milte hai  Also, Tata Safari me hume tail light dekhne milta hai jo different hai as seen on Harrier. Iss car me 18 inch ke alloy wheels bhi milte hai.

2021 Tata Safari Leaked Price

Tata Safari Interior Details-

Tata Safari me hume almost same interior dekhne milta hai jo humne Harrier me dekha tha. Safari me hume oyster white upholstery along with ash wood trim on dashboard dekhne milta hai. Saath hi hume 8.8 inch touchscreen infotainment system bhi dekhne milta hai jo Apple CarPlay, Android Auto and Tata iRA connected features ke saath aata hai. Tata iRA connected tech me hume find my car, speed alerts, remote immobilisation and geo fencing jaise features dekhne milte hai.

Iss car me hume rear parking sensor, ABS, EBD, traction control, electronic parking brake, panoramic sunroof, automatic climate control, auto headlamps and rain sensing wipers jaise features bhi dekhne mil sakte hai. Iss car me hume 6 and 7 seater ka option mil jaata hai.

Tata Safari Interior Images

Tata Safari Engine-

Tata Safari me hume 2.0-litre Kryotech diesel engine dekhne milta jo 170 HP and 350 Nm torque produce karta hai. Iss engine me hume 6 speed manual and 6 speed automatic transmission ka option mil jaata hai. Tata Safari ko six variants me offer kiya jaata hai – XE, XM, XT,XT+, XZ, XZ+.  Iss car me hume three driving modes bhi milta hai – Eco, City and Sport.

2021 Tata Safari ki pricing Rs 14.69 lakhs to Rs 21.45 lakhs (ex-showroom) hai.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram