Tata Safari vs Tata Harrier Comparison

Tata Safari vs Tata Harrier Comparison – Tata Motors apne iconic SUVs lineup ke liye kafi famous tha. Tata ne Safari, Sumo and Sierra jaise SUVs ko launch kiya tha ko India me kafi popular the and large number me sell hue. Tata ne 2019 me apne Harrirer compact SUV ko launch kiya tha jo Indian market me jald hee popular ho gaya.

Harrier ke launch and customer response ke baad Tata ne announce kiya ki woh Harrier ke 7-seater SUV ko develop karega. 2019 Geneva Motor Show me, Tata Buzzard ko showcase kiya gaya tha jo 7-seater Harrier ka concept version tha. 2020 AutoExpo me Tata Gravitas ko showcase kiya aur confirm kiya ki woh jald hee woh iss car ko jald hee launch karega. 2021 ko start karte hue Tata ne announce kiya woh Harrier based 7-seater SUV ko iconic Safari ka nametag dega aur Gravitas and Buzzard sirf codname the.

Tata Safari vs Tata Harrier Comparison-

Dimensions-

Tata Safari ki dimensions 4661mm x 1894mm x 1786mm hai. Iss car ki wheelbase 2741mm hai.

Tata Harrier ki dimensions 4598mm x 1894mm x 1706mm hai. Iss car ki wheelbase 2741mm hai.

Tata Safari Front

Design-

Tata Safari ko OMEGA architecture par build kiya gaya hai. Iss car me hume Impact 2.0 ka styling design dekhne milta hai. Safari me Xenon HID projector headlamps, LED DRLs with turn indicators, chrome finished front grille, fog lamps and large front bumper dekhne milta hai. Iss car ke rear section me hume LED tail lights with black treatment, rear spoiler with integrated brake light, and rear bumper dekhne milta hai.

Tata Harrier ko bhi OMEGA architecture par build kiya gaya hai. Iss car me bhi hume Impact 2.0 ka styling language dekhne milta hai. Tata Harrier me hume Xenon projector HID headlamps, fog lamps, LED DRL with turn indicator, black front grille and front bumper dekhne milta hai. Iss car ke rear section me LED tail lights with black treatment, rear spoiler with integrated brake light, and rear bumper dekhne milta hai.

Tata Harrier Side Profile

Engine-

Tata Harrier and Tata Safari me hume same 2.0-litre Kryotech diesel engine milta hai. Ye 1956cc, 4 cylinder engine, 170 HP and 350 Nm torque produce karti hai. Harrier and Safari me hume two transmission ka option mil jaata hai – 6 speed manual and 6 speed automatic.

Tata Safari

Features-

Tata Safari me hume similar features offer kiye jaate jo hume Harrier me milte hai. Safari me hume 8.8 inch touchscreen infotainment system with Apple CarPlay and Android Auto and iRA connectivity features dekhne milte hai. Iss car me hume 7 inch TFT instrument cluster bhi dekhne milta hai. Iske alawa hume panoramic sunroof, multi driving modes, fully automatic temperature control, mood lighting, etc. jaise features dekhne milte hai.

Tata Harrier me hume loads of features offer kiye jaate hai. Iss car me hume, 7 inch touchscreen infotainment system offer kiya jaata hai with Apple CarPlay and Android Auto.  Iske alawa iss car me hume panoramic sunroof, digital instrument cluster, automatic temperature control, steering mounted controls, etc. jaise features offer kiye jaate hai.

Tata Harrier Images

Safety-

Tata Safari me hume best in best in segment safety features offer kiye jaate hai. Iss car me hume 6 Airbags, ABS with EBD,  ESP, Hill Hold Control, Traction Control, Rear Parking Sensor, Rear Camera, Rain Sensing Wipers, Auto Headlamps and Cruise Control jaise features dekhne milte hai.

Tata Harrier me hume 6 Airbags, ESP, Hill Hold Control, ABS with EBD, Reverse Parking Sensor and Camera, Rain Sensing Wipers, Automatic Headlamps, Cruise Control, Push Button Start/Stop jaise safety features offer kiye jaate hai.

2021 Tata Safari Images


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram