Tesla Model 3 Launch in India in 2021

Tesla Model 3 Launch in India in 2021 – Indian auto industry ek trend dekh raha hai jahan manufacturers apni focus EVs ke taraf shift kar rahe hai. EVs automobile industry ka future hai aur India me ye trend ne recently pace pickup kiya hai. Tesla Motors, well known EV manufacturer jo American and International market me apne vehicles ko sell karte hai. Tesla Motors ke CEO ne October 2020 me kaha tha ki woh Tesla ko Indian market me 2021 me lekar aayenge. Reports se ab pata chala hai ki Tesla apni pehli vehicle, Tesla Model 3 ko June 2021 me launch karegi jiski bookings woh January 2021 se start karega.

Tesla Model 3 Launch in India in 2021-

Tesla Model 3 India

 

Tesla Model 3 in India-

Tesla ne initially, Model 3 ka launch 2017 ke liye plan kiya tha. 2017 me Tesla ne iss car ki pre-bookings bhi start ki thi, par unfavourable Import duties and tax structure ke wajah se, iss car ke launch me delay ho gaya. Sources se pata chala hai ki Telsa, apni manufacturing unit ko either Maharashtra or Kerala me setup karega. Tesla apni Model 3 ko as CBU unit sell karega. Iss car ki sales only online hogi and not via dealerships.

Tesla Model 3 Images

 

Tesla Model 3-

Tesla Model 3 me hume 60 kWH litium ion battery mil jaata hai. Tesla Model 3 hume three variants me offer hote hai- Standard (Rear Wheel Drive), Long Range (All-wheel drive) and Long Range Performance (All-wheel drive). Iss EV ki estimated range hai 500 kms on single charge. Ye car 162 kmph tak ki top speed attain kar sakti hai. Ye car 0-100 kmph karti hai in 3.1 seconds. Iss car ki price Indian market me Rs 50 lakhs ke around ho sakti hai.

Tesla Model 3


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram