Top 10 Selling Cars in India for October 2021

India me festive season ke start hote hee automobile market me demand dekhne mila hai. Auto manufacturer’s bhi iss season ke preparation ke liye new products ko Indian market me launch kar rahe hai aur exiting product line-up me festive discounts bhi offer kar rahe hai. Aaj hum baat karenge top 10 Selling Cars in India for October 2021

Top 10 Selling Cars in India for October 2021

 

Top 10 Selling Cars in India October 2021021

Image Source – AutoPunditz

  1. Tata Punch

Tata Punch, Tata Motors ki newest offering hai jisne already apne launch month me 8,453 sales achieve kar liya hai. Tata ki iss micro SUV ko Indian audience ne kafi pasand kiya hai for its look, features and styling. Iss car ki pricing 5.49 – 9.09 Lakhs (Ex-Showroom) hai.

  1. Maruti Suzuki Swift

Maruti Suzuki Swift, Maruti Suzuki ki one of the top selling cars hai right from it’s launch. Although Maruti ne iss car me diesel engine ko discontinue kar diya hai but the new petrol turbo engine variant ko bhi kafi accha response mila hai Indian market me. October 2021 me Swift ke 9,810 unit sell hue hai. YoY comparison ki baat kare toh October 2020 me 24,589 units sell hue the.

  1. Tata Nexon

Tata Nexon Indian market ke heavily populated sub-4 meter SUV segment me compete karta hai. October 2021 me Tata Nexon ke  10,096 units sell hue jo competitors Kia Sonnet, Mahindra XUV300, Nissan Magnite se zyada hai. October 2020 ke sales number ki baat kare toh Tata Nexon ke sales only 6,888 units the. Tata ne October 2021 me almost 47% growth achieve kiya hai.

  1. Maruti Suzuki Eeco

Maruti Suzuki Eeco ko Indian market me passenger vehicle se zyada commercial vehicle jaisa use kiya jaata hai. Ye car cargo and freight ke liye suitable and popular hai. Maruti Omni ke discontinuation ke baad Eeco ne worthy successor prove kiya hai. October 2021 me Maruti Suzuki Eeco ke sales 10,320 units hai.

  1. Kia Seltos

Kia Seltos October 2021 ki most selling compact SUV vehicle hai. Since its launch, Kia Seltos ne kafi customers ko attact kiya hai aur constantly Indian market me achha perform kiya hai. October 2021 me Kia Seltos ke 10,488 units sell hue. Ocotboer 2020 ke sales number ke comparison me hume iss car me 18% sales growth dekhne mila hai.

  1. Hyundai Venue

Hyundai Venue, Hyundai ki most selling car rahi hai for the month of October 2021. Hyundia Venue heavily populated sub-4 meter SUV segment me compete karti hai and October 2021 me Hyundai Venue iss segment ki most selling car rahi hai. October 2021 me Hyundai Venue ke 10,554 units sell hue hai. YoY comparison ki baat kare toh Hyundai Venue ke sales me 20% growth dekhne milta hai.

  1. Maruti Suzuki Wagon-R

Maruti Suzuki Wagon-R October 2021 ki 4th most selling car hai. Wagon-R ne fleet and passenger vehicle market me kafi accha perform kiya hai for its cost and fuel efficiency. October 2021 me Maruti Suzuki Wagon-R ke 12,335 units sell hue hai.

  1. Maruti Suzuki Ertiga

Maruti Suzuki Ertiga MUV segment ki most selling vehicle rahi hai. Ertiga truly Indian family car hai jike zyada competitors nahi hai Indian market me. October 2021 me Maruti Suzuki Ertiga ke 12,923 units sell hue hai. October 2020 ke sales performance ke comparison me Ertiga ke sales me hume massive 67% growth dekhne mila hai.

  1. Maruti Suzuki Baleno

Maruti Suzuki Baleno, Maruti Suzuki ki premium hatchback offering hai jisse NEXA branding ke thorugh sell kiya jaata hai. Baleno ko Indian market me introduce kiye kafi saal ho gaye hai par ab bhi ye car apne rivals ko sales number me outperform karta hai. October 2021 me Maruti Suzuki Baleno ke 15,573 units sell hue hai aur ye car Maruti Suzuki ki 2nd most selling car rahi hai for the month of October 2021.

  1. Maruti Suzuki Alto

Maruti Suzuki Alto hai most selling car in India for October 2021. Alto, Maruti Suzuki ki most selling car bhi for October. October 2021 me Maruti Suzuki Alto ke sales 17,389 units hai. Although, Alto ki older generation model ko launch hue kafi time ho gaya hai but speculation hai ki jald hee Maruti apne newer generation Alto ko launch karega.


IndianTorque hain one of its kind and India’s first HINGLISH automotive website jaha pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti hain, yaha pe aapko unbiased review, comparison bhi milenge jis se aapko apne liye perfect vehicle choose karne me aasani ho. So guys notification on kar lijiye IndianTorque.com so that koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram