Top 3 Best Cars Under 10 Lakh in India 2021 – Guys, 2020 ab end hone ja raha hai or agar aap naya sal lagte hi soch rahe hai apne liye ek Hatchback car to aaj aapko apne liye ek perfect car ka option milne wala hai. Aaj apan discuss karenge 3 aesi cars ke bare me jinhe aap 10 lakh ke budget me Indian market me purchase kar payenge or uske sath apna new year ki pahli trip pe niklenge.
Top 3 Best Cars Under 10 Lakh in India 2021 –
Kisi bhi gaadi ko lene ke pahle apni needs ko samjhna ahut jaruri hai. Ki Aap kyu gaadi le rahe hai. Aapko gaadi ki kaha kaha jarurat hai. Aapki faimly ke according aapke liye kis tyre ki car sahi rahegi. Or aapka ank balance aapko kitne tak ki car lene ki permission deta hai. To Aaj mene ise 3 category me rakha hai jo ki Indian market me dekhi jati hai.
1st – Youngsters
Jab aap apne college ke ya office jane ke liye car dekh rahe hai to aapko ek aesi gaadi chahiye jo ki dikhne me hi better ho or sath hi uska maintenance bahut kam ho taki aapke pocket money se aap use afford kar paye. Or sath hi weekends pe apne friends ke sath long drive pe jaye to 4-5 log beth jaye or unka luggage bhi aaram se aajaye.
To ye sabhi requirements ko pura karti hai Ford Freestyle jo ki safety, Low maintenance, Good handling, Fun to drive car hai apne segment mai. Sath hi Ford ki Service bhi India me ab almost sabhi jagah mil hi jati hai. To a chalte hai dusri catagory ki taraf.
2nd – Family
Ye category me ek overall package ki requirement hoti hai. Kyuki grandparents, Father-mother, And Adults sabhi is gaadi ko commonly use karenge. And kai jagah sath me bhi jayenge. To Yaha Hyundai i20 aapke liye best hai. Build quality, Interior Quality, Features (Bluelink), Ease of driving, and engine options, In sabhi bato me I20 top pe rahti hai.
To is gaadi se aapki need puri ho jayegi. Or sath hi day to day life me ise aap aasani se use kar sakte hai. Or thoda budget extend karenge to sunroof bhi mil jayega. And ek overall package aapke ghar ke samne dikhne me hi kaafi acha lagega.
3rd – senior people’s
Is category ko sabhi hul jate hai but Indian market me aaj bbhi 30% Hatchack car apne ghar ke senior citizen use kar rahe hai. Or unke liye Safety apni pahli priority honi chahiye. To Volkswagen Polo inke liye kafi acha option rahega jise chalane me to maja aata hi hai. Sath hi kaafi achi build quality ek satisfaction offer karti hai apne ado ki safety ka.
And Polo me aapko kam ke ab sabhi features mil jate hai . Jese ki Touch screen infotainment system, Navigation system, music system etc. Or price ke hishab se bhi Value for money hi hai.
So guys, Ye hai Top 3 Best Cars Under 10 Lakh in India 2021 jo aapne liye ya apne se choto or bado ke liye kharid sakte hai. Aapko koi dout hoto niche comment karo or sath hi Instagram me DM bhi kar sakte ho.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.