Top 3 Best Petrol SUV under Rs.10 lakh

Top 3 Best Petrol SUV under Rs.10 lakh – Aaj hum baat karenge top 3 best petrol compact SUVs under Rs.10 lakh. hum log baat karenge unn SUVs ko aapko aapke Rs.10 lakh tak ke budget mein dengi fun driving experience, acchi mileage, smart features aur modern looks.

Aaj ka humara discussion based hoga engine specifications, performance aur kuch aise key features jo banaegi haar gaadi doosri se different.

Top 3 Best Petrol SUV under Rs.10 lakh-

Mahindra XUV300 (BS-VI):

XUV300 hain Mahindra ki 5 seater compact SUV, jisko 5-star safety rating mili hain Global NCAP ki taraf se.  XUV300 hain India’s highest rated SUV safety ke maamle mein.

Mahindra ne XUV mein 1.2L 3-cylinder petrol engine ka option offer kiya hain, jo produce karti hain best in the segment torque 200Nm aur 110PS power. Petrol mein sirf 6-speed manual transmission ka option offer kiya jata hain.

XUV300 petrol ki performance kaafi stable hain aur deti hain driver ko confidence, mileage ki jaha tak baat kari jaaye toh: 12.16Kmpl (city) aur 14.25Kmpl (highway).

Key features: 7 airbags (1st in segment), Dual-zone automatic AC, Smart steering system (1st segment) etc.

Price: starting from Rs.7.95 lakh Ex-showroom

 

Mahindra XUV300 Petrol AMT

Kia Sonet:

Kia Sonet inspired hain apni badi SUV Seltos se, Kia offer 1.0L turbo-charged petrol engine aur ek normal 1.5L petrol unit. Transmission mein Kia offer karti hain 5-speed manual, 6-speed manual, 6-speed iMT, 7-speed DCT aur 6-speed automatic gearbox options.

Kia ne Sonet mein bahot saare smart features offer kiye jisse Sonet launch hote hee successful hogayi Indian compact SUV market mein.

Key features: 10.25-inch HD touchscreen infotainment system, Built in eSIM for UVO car connectivity, integrated air purifier, wireless charger, electric sunroof etc.

Price: starting from Rs.6.71 lakh ex showroom.

Kia Sonnet

Tata Nexon:

Tata Nexon bhi hain one of the most safest car India ki, isne bhi 5-star Global NCAP rating achieve ki hain. New facelift ke baad Nexon ke looks aur features mein changes kiye gaye hain.

Tata Nexon mein 1.2L ka Revotron petrol engine hain jo produce karta hain 120PS ki power aur 170Nm torque. Nexon mein multi-drive modes bhi milte hain ( ECO/CITY/SPORT).

Isme aapko 6-speed manual aur automatic transmission offer karti hain Tata Nexon mein.

Key features: Electric Sunroof, Digital instrument cluster, Connected Car tech. etc.

Nissan Magnite vs Tata Nexon Comparison in Hinglish

Toh yeh thi Top 3 SUVs jo aapko milegi Rs.10 lakh tak ke budget mein, yeh gaadiyan hain combination of features for comfort, fun driving experience aur safety features ka.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram