Top 3 Best Scooters in india May 2020

Top 3 Best Scooters in India May 2020 – Guys aaj best 125cc scooters ke bare me bat karenge. India me Corona ke chalte itne time se lockdown tha. Ab Showrooms open hone phir se start huye hai. Or kai sare log cahate hai ki vo apne liye scooter purchase kare. Par aap sabhi ko pata hai ki logo me bahut confusion hai ki konsa scooter le or konsa nahi le.

To aapki bhi yahi problem hai to aaj solve ho jayegi. Sabse pahle mene decide kara hai ki 3 category me 3 scooter aapko bataunga. Because agar mene aapko 3 scooters suggest kar diye ki ye 3no scooter lelo to farak kya padega? aapka doubt to bana hi rahega. Isliye ab aapko ye dekhna hai ki aap kis category me aate ho us hishab se aapko scooter niche mil jayega.

Top 3 Category of Indian people –

1st – Family

2nd – Business/Job

3rd – Girls/Oldy

Top 3 Best Scooters in India May 2020

For Family – Family me sabhi log scooter ko use karte hai. Cahe bacho ko coaching jana ho. Ya morning mai vegetable purchase karne aapki Mumma ya papa leke ja rahe hai. To yaha pe Suzuki Access 125 BS6 best scooter hai.

Reason – Sabse pahle to iska look kafi premium hai. Dusra ye mileage acha dedeta hai agar ache se chalao to. Teesra isko handle karna kaafi aasan hai. Kabhi bhi kahi bhi le ke ja sakte hai or 2 heavy people bhi ispe beth jaye to unhe bethne mai or scooter ko chalne me koi dikkat nahi hoti hai kyuki seat kafi badi hai or engine kaafi puncy hai.

And isme kai sare variants aate hai aapka budget kam hoto lower variant lelo or agar aapko budget ka issue nahi hai to special edition lo. Ab yaha pe specs or price ki bat nahi karunga me vo aap sabhi ko pata hi hai and price on road sabhi states ki alag alag hoti hai to better aap apne nearest dealer se hi le vo aapke liye hi better hoga.

For Business/Job purpose – Yaha pe scooter ka dhayn nahi rakah jata hai seat saf kari or chalo. And company se call aayega to service pe bhej denge. Overall bat ye hai ki is type ke logo ke pass time ki actual me kam hota hai. Ye to mene apne ghar me bhi experience kara hai or aapke yaha bhi hota hi hoga. Agar agree hoto niche comment me ha likh dena.

Sath hi aapko parking me chod kar pure din bhul jana padta hai or rough and tough condition me aapka scooter rahta hai. Aese condition me Honda Activa BS6 hi hai jo ki service kar sakta hai. metal ki tough body Honda ki reliability or engine ki long life is ek scooter me aapko mil jati hai. And abhi new BS6 version me to isme kai sare advance features aaye hai aap niche humare review mai dekh sakte hai.

And top speed pickup sabhi mamale me badiya hai. To ab aapko iska or koi alternative apne mind me aa raha hai to niche comment karke please batao taki me aapse discuss kar saku or shayad aap sahi nikal jaye or logo ki help or ache se ho paye.

Girl/Oldy – Guys Bahut si girls ki need hoti hai lightweight scooter jise vo aasani se handle kar paye. Or apne yaha jo aapne bade-bujurg hote hai unhe bhi apan yahi chate hai ki ek lightweight scooter de jise vo aasani se chala paye. To yaha Yamaha Fascino 125 BS6 best scooter hai. Sirf 99kg ke kerb weight ke sath 125cc segment me isse kam weight wala scooter koi hai hi nahi. Sath hi isme mileage bhi kaafi acha nikal jata hai.

Or chalane me bhi kafi comfortable hai. Or trunk bhi kaafi bada hai jisse aapko apna kuch saman rakh ke le jana hai to aap uska ache se use kar payenge. Sath hi isme aap helmet bhi rakh sakte hai. Foot area bhi bada hai. To overall Yamaha Fascino Top 3 Best Scooters in india May 2020 ki list me aa hi gaya or jo ani need thi vo sabhi fulfill bhi ache se kar raha hai.

So Guys ye the Top 3 Best Scooters in India May 2020


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare. Instagram