Top 3 Best-Selling Cars in November 2020

Top 3 best-selling cars in November 2020 – November 2020 Indian Automobile Industry ke liye kafi accha month raha hai. Festive season ke wajah se gaadiyo ke sales par increase dekhne mila hai. Humari country iss pandemic ke baad economic recovery experience kar rahi hai jisse Indian Auto Sector bhi positive growth dikha rah ahai. November 2020 me iss industry ne 9% growth register kiya hai.

Top 3 Best-Selling Cars in November 2020

November 2020, me bhi Maruti Suzuki iss market ko dominate karne continue karti hai aur iss manufacturer ka total sales 1,35,775 units. Second place pe aati hai Hyundai jiski total sales hai 48,800 units. Tata Motors ne iss mahine 21,640 units ke sales record ki aur Kia Motors ne 21,022 units ki sales record ki.

Top 3 Best-Selling Cars in November 2020-

Maruti Suzuki Swift

Maruti Suzuki ne November 2020 me Swift ke 18,498 units sell kiye. October 2020 me Swift ke 24,586 units sell kiye gaye the. Maruti Suzuki Swift ki sales par 25% decrease dekhne mila hai.

Maruti Suzuki Swift

Maruti Suzuki Baleno

Maruti Suzuki ne November 2020 me Baleno ke 17,872 units sell kiye. Iss car ke sales me bhe drop dekhne mila hai. October 2020 me Baleno ke 21,971 units sell kiye gaye the aur iss car ke sales me 18% drop dekhne milta hai.

Maruti Suzuki Baleno

 

Maruti Suzuki Wagon R

Maruti Suzuki ne November 2020 me Wagon R ke 16,256 units sell kiye. Baki cars ki tarah bhi iss car ke sales me bhi decline dekhne mila hai. October 2020 me Wagon R ke 18,703 units sell kiye gaye aur Wagon R ki sales me 13% drop record hota hai.

Maruti Suzuki Wagon R

 

SUV segment me Hyundai Creta 12,017 units ka sales record kiya hai aur newly launched Kia Sonnet ne 11,417 units ka sales record kiya hai.

Ford aur Renault ne already discount aur schemes announce kar diye hai taaki woh customers ko attract kar, iss saal ke aakhri mahine me sales number ko boost kar sake. Hum expect karenge ki baki manufacturers bhi discounts aur offers se customers ko apni taraf kheeche aur apne sales number ko improve kare.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram