Top 3 Cheapest Cars Sold in India – Indian car market ek bahot high potential car market raha hain saalo se and iss market ki shuruaat hui thi jab Maruti Suzuki ne India mein affordable small cars ki manufacturing start kari thi uss time se leke aaj tak 2021 mein bhi small affordable cars ki kaafi acchi demand with many brands offering their products, brands jaise Renault bhi Indian market mein apni pakad banana ke liye affordable cars introduce kari jisse Renault ne acchi shuruat kari and abhi tak acchi progress kar raha hain. but currently aisi konsi top 3 most affordable cars hain India mein jo aap purchase kar sakte hain maybe as your first yaah fir apni day to day city hassle ko easy banana ke liye and yeh budget cars mostly rehti hain highly fuel efficient.
Top 3 Cheapest Cars Sold in India-
Model: | Fuel efficiency | Price range |
Maruti Suzuki Alto 800 | Petrol- 22.05Km/l
CNG- 31.59Km/Kg |
Rs.2.99 lakh – Rs.4.48 lakh |
Renault Kwid | Automatic- 22Km/l
Manual- 21.74Km/l |
Rs.3.12 lakh – Rs.5.31 lakh |
Maruti Suzuki Celerio | Petrol-21.63Km/l
CNG-30.47Km/Kg |
Rs. 4.53 lakh – Rs.5.78 lakh |
Maruti Suzuki Alto 800-
Maruti Suzuki Alto legendary car rahi hain Indian car market mein after Maruti Suzuki 800 and still kaafi logo ki pasand hain Alto 800 jab bhi small affordable cars ki baat aati hain toh, Alto 800 mein ata hain 796cc ka petrol engine jo produce karta hain 48PS ki power and 69Nm ka torque.
Key features- SmartPlat Studio touchscreen infotainment system, central locking, dual airbags, ABS with EBD, remote keyless entry etc.
Renault Kwid-
Renualt ka pehla aisa product tha Kwid jo Duster ke launch ke baad Indian market mein first car buyers ke amongst bahot popular ho gaya tha and Kwid apne customers ko great features in affordable prices offer karti hain, and issi ki wajah se Renault abhi tak stable hain India mein.
Renault Kwid ke updated variant mein new smart control efficiency engine offer karta hain jo hain 1.0L petrol engine and produce karta hain 54PS ki power and 72Nm ka torque.
Key features- LED DRLs, touchscreen infotainment system, LED digital instrument cluster, dual airbags, ABS with EBD etc.
Maruti Suzuki Celerio-
Maruti Suzuki Celerio aisi pehli affordable small car thi jisme Maruti ne AMT gearbox ki convenience offer karna start kiya tha ek budget price mein and ussi ke baad se Celerio ne kaafi logo ko attract kiya hain expecially taxi companies jaise Ola and Uber kyuki Celerio deti hain acchi fuel efficiency and less maintenance cost.
Maruti Suzuki Celerio mein bhi Maruti apna proven K10B 998cc petrol engine offer karti hain jo produce karta hain 68PS ki power and 90Nm ka torque.
Key features- Auto gear shift as an option, dual airbags, ABS with EBD, reverse parking sensors, alloy wheels etc.
Post By – Apoorv Arya
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.