Top 3 Fuel-efficient Diesel Compact SUVs in India

Top 3 Fuel-efficient Diesel Compact SUVs- Indian market mein recent times mein compact sub 4 meters SUVs ne kaafi popularity gain kari hain jisse iss segment mein brands ke beech bahot competition badh chuka hain. Har brand koshish karta hain ki customers ko top notch features, build-quality aur fuel-efficient engines offer kare.

Toh aaj hum dekhnge ki konse brands apne customers ko features, build-quality aur fuel-efficient engine ka combination offer karta hain Indian market mein.

Top 3 Fuel-efficient Diesel Compact SUVs-

1.Kia Sonet-

Kia Sonet recently launched Kia ki sub 4 metre compact SUV hain jisme Kia manual aur automatic transmission offer karta hain. But most fuel-efficient variant Sonet ka hoga diesel manual variant jo hoga 1.5L turbo-diesel aur produce karega 110Bhp ki power aur 240Nm ka torque.

Kia Sonet ke diesel manual variant ki mileage hain (ARAI)- 24.1Kmpl

Key features: 10.25-inch HD touchscreen infotainment system, Built in eSIM for UVO car connectivity, integrated air purifier, wireless charger, electric sunroof etc.

Price range- Rs.8.05 lakh – Rs.12.89 lakh

Kia Sonnet

2.Ford Ecosport-

Ford Ecosport mein Ford offer karti hain 1.5L ka diesel engine jo produce karta hain 100Bhp ki power aur 215Nm ka torque aur deta hain 21.7 Kmpl ki (ARAI) claimed mileage.

Key features: ABS with EBD, EBS,ESC,TCS,HLA, electric ORVMs, automatic AC and heater etc.

Price Range: Rs.7.99 lakh – Rs.11.49 lakh

Ford Ecosport Images

3. Hyundai Venue-

Hyundai venue hain Hyundai ki sub 4-meter compact SUV jo apne launch ke baad hee best-selling compact SUV ba gayi thi Indian market mein. Venue mein 1.5L ka diesel engine milta hain jo produce karta hain 100Bhp ki power aur 240Nm ka torque. Yeh engine aapko 23.7 ki (ARAI) claimed mileage deta hain.

Key features: Hyundai blue-link connected car tech, Fully automatic temperature control, hill assist control, air purifier, smart electric sunroof etc.

Price range- Rs.6.87 lakh – Rs.11.67 lakh

Hyundai Venue


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram